Opening
Namaskaar!
Artha Sutra ki kahani Machhali ke chauthe episode mein aapka swaagat hai. Aajka episode hai: Dveep ki Sarkar
Pichle
episode mein humne dekha kaise humara yeh chhotasa dveep bada hua, aur
naye naye dveepwaasiyon se bhi mile. Kaise dveep ki bachat ka uchit
upayog, dveep ke jeevan ka star aur badhta hai, Sejal ki chaturai aur Water Works project ki dhamaakedaar saphalta.
“Ab dekhte hai humare dveep mein sarkar kaise banti hai..”
Dveep Ki Sarakaar
Ab tak dveep par sva-shaasan yani self-governance ka niyam tha..
Sab
apni dekhbhaal khud karte the, aur mota-moti yeh badhiya kaam karta
tha. Waise yahan apraadh bahut kam hote the, par hote zaroor the. Aur
kabhi koi vivaad ho jaye, toh ve apne beech vaktigat roopse niptaa bhi
lete the..
Jaise kisi ke yahan agar chori ho jaaye, toh unhein khud chor ko dhoondhna-pakadna padta tha.
Kahi koi sign kiya hua contract na nibhae, toh use rokne mein badi mushkil hoti thi.
Kabhi kabhi toh jaan ka jokhim bhi hota. Aise samay kabhi madat milna bhi mushkil hot jata tha..
Iska
hal nikalne ke liye, dveepvaasiyon ne ek Sarkaar ki sthapna karne ka
nirnay liya jo judge aur police ko chunne aur sambhaalne ki zimmedaari
legi, jiska uddeshya jeevan, adhikaaron aur sampatti ki raksha karana
tha.
Saare dveepwaasi ikkathha hue iss par charcha ke liye.
Babuji ne sujhaav diya ki humein sarkaar mein 11 sadasya ko chunna chahiye.
Dveepvaasi samartha the aur logon se matadaan karane ka aahvaan krne lage.
Tab, Rajaji jo
chawal ki kheti karta tha, jo apni sahaanubhooti aur samajhadaari ke
lie mana jata tha, usne kaha, “Vote karna toh sahi hai, lekin hum ne ek
Voting Tax tay karna chahiye.”
“Vote karane ke lie tax?! Yeh kaisi alokataantrik baat kar rahe ho Rajaji. Voting toh free hona chaahie!” uttejit Shankar ki aavaz aai.
“Achha?” Rajaji bole
.. “Yeh bataiye koi bhi muft cheez ka kya mulya hai? Toh vote ki agar
koi keemat na chukani pade toh aise vote ka kya mulya!”
“Agar
koi muft mein vote kar sakta hai tab toh koi bhi aira gaira, agyaanee,
gair-jimmedaar vote dene chala aayega! Aise vote toh khatarnaak
honge!..”
“..Sochiye
agar koi bole, “Yeh ummedvaar ki chaati chaudi hai toh mein isse vote
doonga ..” ya koi aise .. “Akkad bakkad bombay boe .. assi nabbe poose
sau, haan yeh ummedvaar jeet gaya, mein isse hi vote doonga!..””
“..Sarakaar mein agar aap kuch kehana chaahate hain toh aapako yogdaan dena hoga, tax bharna hoga!” Rajaji ne saraltase apni baat rakhi.
Dveepwaasi apne beech charcha karne lage.. Shankar sahmat hua, “Yeh baat toh tumhaari sahi hai Rajaji!”
“Yeh hi nahi, yeh Tax humari sarakaar ke kharche aur laagat mein bhi kaam aayega!”, peeche se kisine kaha aur sabhi sehmat hue.
“Aap
sahi bole! Bevakoophon aur gair-zimmedaron ko ghar hi rahane do. Yadi
ve vote ka bhugataan karte hai, toh ve humare samaaj ke muddon aur
ummeedavaaron par theekse dhyaan denge.” Rajaji ne aage kaha.
“Ek minute! Yeh Mr. Khata bada ameer hain, uske liye vote ka tax zyaada hona chahiye!” Rahul ne kaha, jo apne aap ko bada hoshiyaar samajhta tha.
Tab Rajaji ne
jawab diya, “Aisa kyon? .. Ameer aur gareeb sabhi ko sarakaar se ek
samaan laabh milega, jeevan ki svatantrata aur sampatti ki raksha..”
“..
jaise, jab aap ek Cinema hall mein jate ho, toh ticket ki keemat sabhi
ke liye samaan hoti hai aur sbhi ko ek samaan manoranjan ka aanand milta
hai.”
“Hmm.. baat toh tumhaari sahi hai! Tum phir sahi nikle Rajaji.. sabhi ke liye tax samaan hona chahiye!” Rahul ne apni sahamati jatai.
Tab ek ladaka khada hota hai aur bade utsaah se apne doston se poochhata hai ki ve kise vote denge.
“Huh! Voh dekho, bachche bhi ab vote dena chaahate hain! Hahaha..” Rahul ne uss bachhe ka mazaak udaya aur saare hasne lage.
“Beta Sunny, tum vote karane ke lie abhi bahut chhote ho!” Sunny ke pita ne kaha.
Tab Rajaji ne sabse poochha, “Matadaan se umr ka kya lena-dena?”
Thoda samarthan paake, sahas se Sunny ne kaha, “Main kaam karata hoon! Main samaaj ka ek utpaadak sadasy hoon aur main vote dene ke lie 5 machhali ka tax bhi doonga!”
“Erm.. tum ne mujhe wahan pakad liya bachhu!”, Rahul maan
gaya.. “Yeh bhi sahi hai, aur doosari or voh buddha aawara Ankur, din
bhar pada rehta hai. Samaaj mein uska koi yogadaan nahi, aur khudko
Badshah maanta hai! Use agar vote karna ho, toh Sunny ki tarah usse bhi
smaaj ka ek utpaadik sadasya banna padega.”
“Ab iski samiksha lete hai..”
Vote Pe Tax Kyon De?
- Taaki hum apni pasand ka vyakti chun paaye, jo samaaj ke sabse mahatvapoorn aur prabhaavpoorn nirnay lega.
- 5
machhalee aarthik aur saamaajik nyaay ke niyantran pe haq ki ek sastee
keemat hai, jo har utpaadik sadasya araam se chuka sakta hai.
Beshak
kuch dveep vaasi aarthik aur saamaajik nyaay ko badhaava dene ke lie 5
kya 1 machhalee bhi nahin dena chahte the.. lekin unki sarkaar mein koi
aavaaz waise bhi nahi honi chahiye.
Iss
tarah, kaanoon aur adaalat ko sthapit karane se vyaapaar mein bhi
suvidha hui, pragati hui aur isse logon ko aur naye vyavasay mile.
Dheere
dheere, iss dveep ka smaaj bada hota gaya, aur, aur bhi zyada pragati
karne laga. Sabhi ki aarthik vyavastha behtar hone lagi.. karadaata aur
gair-karadaata sabhi ke liye!
Democracy: Ek Naya Bhoot
Kuchh
aur peedhiyaan beet gayi, aur samay ke saath dveep ki raajaneeti bhi
badal chuki hai! Democracy ke josh mein ab sab muft mein vote de sakte
the!
Mantriyon ko ab moti salary milti thi. Inke liye ab nyay, vyay aur samman sab purani baatien thi, ab toh har mantri bas Khursi ka pujaari tha.
Ummedvaaro ke liye ab bada aasaan system tha; apna vote bank sambhaalo, Khursi tashreef
ke neeche janta khud hi leaayegi. Jab bhi election aata, public ki badi
khatirdaari hoti; langar lagte the, sabko badhiya khilya jaata tha,
aisa samajho ki Eid hi aayi ho. Achhe din ab election to election aate
the.
Ve
jo bhi bech skte apne voteron ko, ve bejhijhak bina koi sharm bechte.
Nayi lokataantrik vichaaradhaara ke anusaar, “Vote sirf kharide jaasakte
hai, nyay karne se nahi!”.
Ab dveep ki yeh nayi sachhayi thi!
Nyaayaalay
Adaalaton
ka kaam ab bhi nyaay karna tha, lekin ab nyay kam milta tha. Judgeon ko
ab nyay ke liye kam, mantriyon, unke doston aur unki neetiyon ko
bachane ke liye chuna jaata tha!
Isase
bhi badatar toh yeh tha, ki vaidh adaalaton ko, naye Prashaasanik
Nyaayaalay, yani Administrative Courts aur Tribunals mein badal diya
gaya, jo Mantriyon dvaara naye kaanoonon ko laagu karne ke liye sthaapit
kiye gaye the!
Yeh
nayi adaalaten, Beurocrats aur Administrators dvaara niyantrit ki jaati
thi, jo vaastavik kaanoon pranaali ke baahar kaam karati thi. Saare
apni apni khursi pe Saabji banke baithe rehte the.
Kai
court mein toh pooncha jaata tha, “Kya sanvidhaanik adhikaar? Koi
sanvidhaanik adhikaar nahi hai iss court mein. Yahan bas iss court ka
kanoon chalta hai.”
Kahi toh koi appeal ki gunjaish hi nahi thi.
Aur tax tribunal mein toh naagrik, naagrik nahi criminal hi hota tha. Aur naagrik ko saabit karna padta tha ki woh nirdosh hai!
Sarkar,
jiski zimmedari logon ka adhikaar aur sampatti ki raksha karna tha,
jiske ke liye shuru ki gayi thi, ab bahaut zyaada phail chuki thi aur
apni zimmedaari se kaafi door jaa chuki thi.
Mr. Bejaan Pelle ab dveep ke Pradhaan Mantri the. Ve bolne mein bade maahir the.
Mr. Pelle har
baar election jeet jaate the. Unka system bada achha tha, logon ki
meherbaaniyan ikatta karna. Logon ko aisa lagna chahiye ki ve unpe badi
meherbaani kar rahe ho..
..lekin Mr Pelle kiske liye meherbaani kar rahe the ve Mr Pelle hi jaante the. Woh logon ka hi paisa leke unki madat karte the!
Mr Pelle ke
Tax ka haath bahut lamba tha, lekin lok kalyaan ka haath nata. Haath
mein ek dena aur jeeb se do lena. Yeh mantriwaale business mein bada
profit tha aur Mr Pelle is khel mein avval number ke khiladi the.
Mr Pelle humesha nayi nayi yojna dhoondhte rehte apna business – yani apni Sarkaar – kayam, aur apni tashreef uss khursi pe jamae rakhne ke liye.
Ek din apne think tank mein baithe baithe Mr Pelle ko
vichaar aaya, “Yeh Machhali Bachat aur Credit Company ke malik Mr. Good
Bank bade saare Consumer Loan nahi paas karta. Aise logon ka upayog
karane ka koi toh tareeka hona chaahie!”
Bada sochne ke baad Mr Pelle ko ek zabardast idea aaya – Pradhan Mantri Bakra Banao Loan Yojna!
Ve
Mantralay gaye aur naya kanoon paas kar diya. Waise jab saari sarkar
unhi ki thi, toh kanoon paas karna bas formality reh chuki thi. Koi
rokne poonchewaal thodi tha.
Yeh
yojna ke tehet ab sarkaar loan degi. Aasaani se degi. Jo aayega use
degi. Kam byaaj pe degi! Business, Roti, Kapda, Makaan, Shiksha, kisaan,
mahila, Minority, sabhee ko ab saste loan milenge!
Ab koi bhi aira gaira Mungerri tehelte-tehelte sarakaari loan le sakta tha. Is tarah Mr. Pelle ne ek nayi vote-bank apne liye taiyaar kar li!
“Lekin
yeh sarkaar kisaka machhalee-dhan udhaar pe de rahi thi?! Kyonki doosre
episode mein humnein dekha ki udhaar dene ke liye pehle humare paas
kuch bacha hua toh hona chahiye..”
Lekin sarakaar ke paas toh apne aap se bachai hui koi poonji nai! Toh sarkaar kaise udhaar de paati hai?
Aap
sahi anuman laga rahe hai .. sarakaar vaastav mein samaaj ke utpaadakon
par tax lagaake, unse unki mehnat ke paise leke hi loan depaati hai.
Aisa karne se, samaaj ke utpaadakon ki bachat kam hoti hai, isse samaaj
ki bachat kam hoti, jisse achhe nivesh ke liye samaaj ki poonji kam hoti
hai!
Ab
muft mein toh sabhi vote karte the, lekin tax bhi sabhi ko dena padta
tha. Kisi ke paas vote na karna aur tax na dene ka vikalp hi nahin tha.
Agar kisiko apne aap akele bhi agar rehna ho toh yeh adhikaar logon se
cheen liya gaya tha. Sarkar sabke darvaaze baja baja ke unse Tax toh le
hi le ti varna ek hi rasta tha – jail!
Aasan
loan sunne mein bada achha lagta hai aur zahir hai yeh sunke public toh
badi khush hui. Lekin, sarakaari loan adhiktar chupake aur tedhe
tareeke se diye jaate hai!
Ab asaan loan ho ya sahi loan ho, machhali toh utni hi lagni thi. Yeh sarkaar ke liye badi mushkilen paida kar rahi thi. Toh Mr Pelle phir apne think-tank mein baithe baithe iss samasya ka hal nikalne baithe. Yeh think-tank ghuma ghuma ke Mr Pelle ko ek nayi tarkeeb soojhi – Bakra Note!
Mr Pelle apne aap se bade khush the, “Ab loan dene ke lie mujhe sirf kaagaj aur syaahee chahiye! Hahaha!”
Mr Pelle gaye mantralay aur kar diya paas Bakra Note ka naya kanoon.
Ise sarkar nayi technology kehti thi. Ab dveep pe paise ke naam pe Bakra notes bhi chalegi!
In nayi noton ko dekh logon ko bada ascharya hua, aur ek doosre se poonchne lage, “Hum kaagaj ke in tukadon ka kya karen?!”
Mr Pelle ne iska bhi vichar kar rakha tha aur apne marketing department ko kaam pe laga chuke the..
“Suniye!
Suniye!! Dveep par nayi technology ka aavishkaar hua hai! Ab paisa
aasan ho gaya hai! Har jagah machhali nahi lejani padegi. Na machhali
kharab na sambhaal ne ka jhanjhat! Lijiye, pesh karte hai – BAKRA NOTE.
Har note pe number likha gaya hai. Jitna likha hai uska mool utni
machhali hai! 1 Bakra note ka mool 1 machhali, 5 ka mool 5. Aapki
suvidha ke liye, aapki sarkaar aapki seva mein haazir hai. Jaaiye bank
mein jaake apne nayi Bakra note ka istemaal kijiye. Pehli 10 noto pe
dugni machhliyan paaye!”
Yeh
sunke samjho log toh naachne lage. Saare bank toh aise daude, jaise
bhagwan hi dharti pe darshan dene aaye ho! Apni zindagi mein, Mr Good Bank ne aisi line kabhi nahi dekhi.
Aisi line dekh, Mr Good Bank bade chintit hue, “Kya karu main. Kar bhi kya sakata hoon? Yeh kaagaz toh ab ek kaanoon ban gaya hai. Hmm..”
Niraashajanak, Mr Good Bank ko bank mein surakshit logon ki mehnatse bachai hui machhaliyan nikalke logo ko toh deni hi padi ..
Ab
jo mehnat karke bacha ke bank mein jama kare, uski machhali pe uska haq
aur jo koi bhi Bakra note leke aaye uska haq ek samaan ho chuka tha.
“Kya yeh auchit hai?”
Iss
prakaar, sarakaar ne utpaadakon aur gair-utpaadakon ko bachat ke
samudaayik bhandaar ki samaan, yani “Democratic” pahunch pradaan ki!
Ise
aap kisi bhi tarah se dekhiye, chaahe sampatti koi gunda zabardasti le
jaaye, ya ek majaakiya mudra yojana dvaara, isse chori hi kehte hai!
Fark sirf itana hai ki gundey, sarakaar dvara apni gundaa gardi ko lok kalyaan ka naam deke karte hai!
Samay aane par sabhi ko pata chal hi jaata hai. ki sarkaar ki bhookh apaar hai, aur ek din woh unhein hi khaa jaayegi. Jaisa Mr Pelle humesha kehte hai, “Machine chalane ke liye tel ki humesha zaroorat rehti hai!”
Closing
Chaliye aaj kahani yahi samapt karte hai.
Aaj
humnei dekha dveep pe sarkar kaise banti hai, aur samay ke saath
sarkaar mein kaise parivartan aate hai, aur kaise sarkaar dveep mein
paison ke naam pe noton ka aavishkaar karti hai.
Agle episode mein hum dekhenge, Mr Good Bank kaise apne dveepvaasiyon ki bachat bachane ki koshish karte hai, par kya woh khud sarkar se bach paayenge?
Ab iss episode ka savaal ki samay aagaya hai.. savaal hai, “Kya kagaz ke note ya sikke asli paise hai? Kyon aur kyon nahi?”
Iska
javaab humein aap humare twitter pe bhej sakte hai, aur sabse badhiya
uttar bhejne wale ko HAZAAAR satoshi ka inaam diya jaayega, jise hum
twitter pe ghoshit karenge. Satoshi kya hota hai, agar nahi jaante toh
duckduckgo kariye ya show notes mein iski jaankari ki bhi link chodi
hai!
Aap
ko yeh episode agar pasand aaya toh khoob share kariye apne doston,
rishtedaaron ke saath aur review zaroor chodiyega apne pasandita podcast
application pe, humein bada protsahan milega aap ke liye aisi mazedaar
kahaniyan laane mein.
Agar aap yeh kahani padhna chahte hai toh iss episode ki pratilipi yani transcript aapko humari website www.arthasutra.org pe milegi.
Agar app humse baatein karna chahte hai toh humein aap twitter pe zaroor likhiye.
Ab agli baar tak aapse mein ijazat leta hoon..