Opening
Namaskar! Arthasutra ki kahani Machhali ke chatte episode mein aapka swaagat hai. Aajka episode hai: Faizal ka Apradh
Pichle episode mein humne dekha kaise Bakra Notes chaapne ke liye Sarkar ko Swachha Machhali ki
yojna lagu karni padi, jis se ek machhali ka mulya kam hota gaya, jise
ve inflation kehte hai. Humne yeh jaana ki inflation se number zaroor
badhta hai lekin mulya kam hota hai.
Aaj hum dekhenge sarkar inflation kaise kaayam rakhti hai aur Faizal kaunsa aisa kaam karta hai, jise sarkar apradh manti hai..
Inflation ki Vajah
Baam ek machhali vyaapaari aur dveep ka part-time arthashaastri tha. Uski ki ek theory thi..
“Inflation mool-fool machhalee-gool ke kaaran hota hai!"
“Arthavyavastha
ko agar protsahit karna ho toh hum varsh mein lagabhag aadhe pet pe
inflation rok sakte hai. Isse logon ke paas din ki aadhi machhali zyada
bachegi kharch karne ke liye. Par iss adhi machhali ko bachana nahi
chahiye, kharch karna chahiye varna arthavyavastha mein dhan ka veg yani
money ki velocity kam hoti hai."
Sarakaar ke paas toh inflation ke hazaar karan taiyaar the, spashteekaran se budabudaa rahi thi dveep ki sarkaar ..
“suniye.."
“Janta aaj kal apne poorvajon se dugna khane lagi hai!"
ya..
“Inflation toh samrddhi aur tarakki ki keemat hai!"
ya..
“Keematen toh zaahir hai badhegi, hum itne samriddh jo ho chuke hai!"
aur yeh suniye..
“Jantaa inti maang karegi, itna kharch karegi toh keematein toh badhegi hi .... jantaa bahut udaau ho chuki hai aaj kaal!"
Lekin, itne halle mein bhi, kisi ne sarakaar par ungali uthaane ka nahin socha, jo mehangai ka asali kaaran hai.
Choonki
sarakaari machhaliyaan ab saamaany machhaliyon ki tulana mein bahut
chhotee ho chuki thi, sarakaar ko ek aur kaanoon laagu karna pada..
“suniye.."
Mr Pelle ne mantriyon ki khaas baithak bulai. Baithak mein bole, “Humein jald hi kuch karna hoga, isse pehle ki machhwaaron ko pata lag jaaye ki asli machhali kitni badi hoti hai!"
“Sir, main aapse ek kadam aage hoon isme!"
Mr Dhooe ne bade garv se kaha .. “Hum
kahenge ki hamaare vaigyaanikon ne pata lagaya hai ki samudr se li gai
machhaliyaan haanikarak _Ultraviolet Radiation_ chodti hai aur saare
licenced machhvaron ki suraksha ke liye ek vishesh machhali ke chashme
pahanane padenge!"
“Hmm.. Wah! Mr Dhooe Wah! Tum wakai mein bade hoshiyaar ho!"
Mr Pelle bade khush hue iss sujhaav se.
“Kya sir! Hum kadi mehnat karte hai, din raat aapki seva mein haazir hai!"
Mr Dhooe zara sharma ke bole.
“Badhiya! Iss tarah humare scam ki lambi umar hogi! Hahahah"
Mr Pelle khush aur unke saath saare mantri hasne lage.
Iss plan ko safal karne ke liye Mr Bose ne sujhaav diya ki sarkaar ne FDIC ka nirmaan karna chahiye – Fish Deposit Insurance Corporation, taaki dveepavaasiyon ko aashvasan mile ki unki machhaliyaan bank mein surakshit hai.
“Yeh
kaanoon se humari bholi janata ko yakeen hojayega ki hum unki kitni
chinta karte hai! Aur mein bank mein **Special SCHEME** ke dvaara isse
badhaava doonga!"
Mr. Bose shaitan bhari hasi ke saath bole.
“Kya
baat hai _BD_! Agar janta ko aisa lagata hai ki unki bachat ko
insurance se "**Su-rak-shit**" kiya gaya hai toh ve bhool jaayenge ki
unki machhaliyan kaise sikud rahi hain! **Hahah!**"
bada hase Mr Pelle.
“**Saras!**
Aap aur main _Mr. Bose_ ek mahaan team hai! Hum donon milakar iss dveep
par badhiya raaj karenge aur yahi nahi, log hamen iske lie dhanyavaad
bhi denge .. **HAHAHAH**"
Mr Pelle Mr Bose ko gale lagate hai.
Iss tarah, sarakar aur bank milkar, Bakra note chhapte gaye, aur Swachha Machhalian chhoti hoti gayi! Salary aur keematen dono hi saath saath, Oopar hi Oopar jaati gayi.
Bakra noton ke pehele ki barabari mein, jab swachha machhaliyan asli machhaliyon ki ek tihaee ho gayi, tab tak keematon mein 200% ki badhotari ho chuki thi.
Kuch samay baad ek aur kanoon lagu kiya gaya, ab licenced machhvaron ko machhali ko haath lagana bhi kanoon ke khilaaf tha.
Naye kannon ke hisab se machhuaare apana jaal khud nahi khaali kar sakte the .. ab keval Sarakaari Contractor hi aisa kar sakate the!
.. nishchit roop se, sarkar ke hisaab se yeh janata ki bhalai aur kalyaan ke lie hi kanoon lagu kiya gaya tha!
Har
baar, har jagaha, har kisi ko yahi bataaya jata tha ki machhali ki
beemaari bat se badatar ho rahi thi yahan tak ki ab asali machhali ko
dekhana bhi khataranaak ho gaya tha. Beemaari ko jhelne ke liye davai
banana bada kathin tha. Dawaiya itni kam matra mein banti thi ki keval Sarkari Contractor ke lie hi paryaapt ho pati thi, jo hamesha tat par machhuaaron se machhali bakra note de kar kharid ne ke liye taiyaar khade rehte the.
Machhuaaron
ko yeh sab ajeeb zroor laga lekin saari janta ke saath saath ve bhi yeh
maante the ki sarkar agar kuch bhi karegi toh achha hi karegi. Agar koi
kuch sawaal utha ta toh usse nakaar diya jaata. Janta usse bada bura
bhala bolti.
“Aap
soch rahe honge ki yeh kaisi betuki kahani hai! Koi kaise aisa vishvaas
kar sakata hai! Aap yeh sahi maan rahe hai, lekin yeh itana bhi betuka
nahin hai. Hamaari vaastavik duniya mein hamaare asli paiso ke saath
yahi hua hai aur yeh 100 saal se bhi jyaada samay se ho raha hai."
“Dveep
mein yeh saare badalaav dheere-dheere kai peedhiyon ke dauran hue. Aur
aaj, kisi ko yeh bhi yaad nahin, ki asali machhali dikhti bhi kaisi hai.
Isi tarah, aaj jyaadaatar log yeh bhi nahin jaanate ki asali paisa
aakhir hai kya cheez. Iski kya kahani hai aur iska hua kya."
“Kya hai paise ki asali kahaani?"
“aage sunte machhuare kya karte hai.."
Sarkar
ke kuch khaas dost aur chune hue logon ko hi pata tha ki vaastav mein
asali machhali kitni badi hoti hai, aur dveep vaasiyon ka bada mazaak
udaate the ..
Dubey aur Pandey sarkaari COntracctor the,
roz ki tarah, subah subah tat par apni khursi lagae chatri ke neeche
baithe baithe nariyal paani pi rahe the. Machhware tat par apni naav
paani mein kheech rahe the, badi mehnat lagti hai naav ko paani mein le
jaane ke lie.
Dubey inn machhuaron ko mehnat karta dekh Pandey se kehta hai, “Woh
dekh, bewakoof kaise dikhte hai.. Inn bewakoofon ko yeh nahi maloom ki
unki mehnat se pakdi hui machhaliyon ka sarkar kya karti hai.. isse
kehte hai mand bhed, jo bhi kaho sun leti hai, jahan lejao wahan jaati
hai, rukne ko bolo toh ruk bhi jaati hai.. hum!"
Apni chursi mein aaram se baitha Pandey kehta hai, “Humen
kya paravaah! Humari toh nikal padi, itni badhiya sarakaari naukari jo
lag chuki hai!.. aaramse chatri ki thandi chaave mein baithe baithe,
nariyal paani din bhar pina, yeh samudra ka sundar nazara, wah! Phir log
tumhein "sirji, sirji" kehke bulae, dum hilate hue tumhare aage peeche
daude do paach Bakra note zyada lene ke liye.. hahahaha"
Dono itna zor se hase ki nariyal hi unke haathon se gir gaya.
Dubey aur Pandey jaise
kai the, balki aise hi logon ko sarkari naukri milti thi taaki ve
vafadaari se sarkar ki har yojna ko anjaam de. Aur kyun koi paravaah
karta, badhiya asli machhali kha ke pet bhar hansate the, aur wahan
jantaa gareeb Swachha machhali se
guzara karti. Iisi liye, saare dveepwasi sarkari naukri karna chahte
the, ki kamaskam bhar pet bina koi chinta ke kha toh sake aur woh bhi
baithe baithe.
Yeh
sab toh chalta raha, par koi bhi saare logon ko har samay bewakoof nahi
bana sakata! Kuch machhuaaron ko dveep pe chal rahe ghotale ki bhanak
lag gayi ..
Faizal ne ek din machhali pakadte waqt machhali ko dekh liya .. “O, Bhais ki tanng! Abe Chhotu yeh dekh! Abe yeh machhali ko dekh! Abe kitni moti machhali hai yeh! Abe yeh asli hai kya?"
“Arre Faizal mamu yeh kya kar rahele aap! Chodo machhali, aapko beemari ho jaayegi!"
chotu ne apne mamu se machhali lete hue kaha.
“Arre mamu! Yeh machhali kitni bhaaari hai! Kitni badi hai! Yeh toh chamak bhi raheli hai! Yeh asli machhali hai kya?!"
chotu asli machhali ko apne haantho mein mehsoos karke bade ascharya mein pad gaya.
“Mamu hum beemar-veemar toh nahi pad jaayenge?"
“Abe
chotu yeh machhali toh itni swasth lag raheli hai, kya iss se sahi mein
beemari phail raheli kya?? Mujhe toh yeh beemar nahi lagti. Sarkar ka
kehna hai ki humein machhali dekh te hi beemari ho jaani chahiye. Aur
humein ab tak toh kuch hua nahi. Kyon be _chotu_ tu thik-thak toh hai
na? Chal lambi saans le!"
Chotu ne lambi saans li.. “Hmm.. tu toh thik lag rahela hai, mere ko bhi kuch nahi hua.."
“Lekin mamu machhali ko dekhna aur chhuna gair-kanooni hai! Uska kya?!"
chotu ne apne mamu se ghabra ke poocha.
Aur mamu bole, “Haan
toh uska kya?! Itni machhali mein ek machhali gayab hojayegi toh kahan
kisi ko pata lagna hai! Bade samay se humein lag raha hai ki iss dveep
ki _machhali mein zaroor kuch ghaas hai_. Iss ghaas ka toh ab pata
lagana hi padega! Beta, chaar machhali le, aur uss tokri mein rakhde,
ghaas ke neeche!"
Chotu ne machhali chupadi.
Ghar jaakar jab Faizal ki biwi ne machhali pakai toh ghar mein aisi khushboo aai ki aaju baaju waale poochne lage ki banaya kya hai aaj kahhane mein.
Machhali itni badi thi aur itni swadisht, ki ghar ke saare sadasya uss ek machhali se santusht ho gaye.
Phir Faizal bola, “Yehich
hai machhali, asli machhali! Aur woh, joh sarkaar _swachha_ ke naam pe
deti hai, woh hai ghaas! Aur humein line mein bhi lagwati hai uss ghaas
ko lene ke liye! Mehnat karein hum aur ghaas bhi khay hum, wah bhaiya
yeh toh bada game khel rahi hai sarkaar humare saath! Ab se sarkaar ko
machhali-vachhali dena band! Ab asli machhali seedhi aayegi ghar!"
Faizal toh machhali dekhte hi mujrim ban gaya tha! Aur, machhali ki asliyat jaan ke toh bada ghusse mein bhi tha. Faizal,
ne apne machhavare doston ko ghar bulaya aur sabko asli machhali
khilai. Saare chakit reh gaye, ungliyan chaat chaat ke sab ne machhali
chat kardi!
Aapas
mein charcha karne ke baad sab ne thaan li ki ve apni machhali sarkaar
ke bharose nahi chodenge aur apni machhali ki bachat khud karenge.
Agle din Faizal aur uske dost bank gaye aur apni deposit ki hui machhali nikal ne ki maang ki!
“Mm-mm-magar .. aap log apna saara byaaj kho denge! Uske baare mein socho!"
Faizal aur uske doston ko apni office mein dekh, chintit Mr. Bose ne unhen samajhaane ki badi koshish ki ..
“Huh!
Byaaj! Abe, Inflation se kabhi tulna ki hai tumne byaaj ki? Dekha hai
kitna hai inflation? Yeh piddi sa tumhara deposit ka byaaj, inflation se
kam hai! Badhiya paan ki tarah bano aur khud hi chabao!"
Faizal ne Mr Bose ko suna diya.
“Tumhare yahan rakhne se toh behtar hai hum ise apne ghar hi rakkhe jo hum roz itni mehnat se pakadte hai!"
Chotu ne bhi suna diya
Aur apni apni machhaliyan leke Faizal aur uske dost muskurate hue apne ghar chale gaye.
Yeh
baat toh machhuaron ke beech pahilne lagi aur adhik se adhik machhuaare
jhaankne lage aur apni pakdi asli machhali khud hi rakhne lage .. tha
toh sab maujooda kaanoon ke khilaaf .. asli machhali dekh, dveep par
maano aparaadh ki lahar machi thi!
Jaise,
jaise logon ko asli machhali ke baare mein pata lagne laga waise waise
ve apni machhaliyan apne ghar hi bachane lage. Ve saare maujooda kanoon
ko jaante the aur jaan ke apradh kar rahe the. Par ve bas ab dhokha nahi
khana chaahte the, apne aapko, apni sampatti aur parivaar ko wahi
sarakaar se bachana chahte the jo ki unki raksha ke liye banai gayi thi.
Haquiqat
mein, sarkar ka keval ek hi uddesh hota hai, apni taakat aur pahunch ko
badhana, aur logon pe apna adhikaar kaayam rakhana. Aur woh apna saara
prayaas uss adhikaar ko badhane mein hi lagati hai.
Closing
Kahani ko aaj yahin samapt karte hai. Aaj humne dekha kaise Faizal aur Chotu ne
dveep ki sachhai pehchani aur bhale hi apradhi kyon na mane jaaye,
sahas se ve apne aap ko aur apne doston ko apni sarkar se bachane ke
pehle kadam lete hai.
Ab iss episode ka sawaal, “”Kya Faizal aur uske doston ne kuch galat kiya? Aur kyon?"
“
Iska
javaab humein aap humare twitter pe bhej sakte hai, aur sabse badhiya
uttar bhejne wale ko HAZAAAR satoshi ka inaam diya jaayega, jise hum
twitter pe ghoshit karenge. Satoshi kya hota hai, agar nahi jaante toh
duckduckgo kariye ya show notes mein iski jaankari ki bhi link chodi
hai!
Aap
ko yeh episode agar pasand aaya toh khoob share kariye apne doston,
rishtedaaron ke saath aur review zaroor chodiyega apne pasandita podcast
application pe, humein bada protsahan milega aap ke liye aisi mazedaar
kahaniyan laane mein.
Agar aap yeh kahani padhna chahte hai toh iss episode ki pratilipi yani transcript aapko humari website www.arthasutra.org pe milegi.
Agar app humse baatein karna chahte hai toh humein aap twitter pe zaroor likhiye.
Ab agli baar tak aapse mein ijazat leta hoon..