Transcript | प्रतिलिपि : Machhali 07 – Kanoon Pe Kanoon | कानून पे कानून

Opening

Namaskar! Arthasutra ki kahani Machhali ke satve episode mein aapka swaagat hai. Maaf kijiyega ki iss episode ko hum samay se nilkal nahi paaye, aur samay bhai aisa ki zindagi aur iss kahani ke beech ki rekha zara dhundli hoti jaa rahi hai. Ise ittefaq hi maanlijiye ki aajka episode ka naam hai: Kanoon Pe Kanoon.

Pichle episode mein humne dekha kaise Faizal aur Chotu ne dveep ki sachhai pehchani aur bhale hi apradhi kyon na mane jaaye, sahas se ve apne aap ko aur apne doston ko apni sarkar se bachane ke pehle kadam lete hai.

Aage sunate hai sarkaar ka jawab ..


Ab sarkari pranali mein asli machhaliyan kam hoti jaa rahi thi, aur zyada se zyada log apna kaam aamne-saamne, asli machhali mein len-den kar niptane lage.

Aadhikaarik arthavyavastha ab sankat mein aa rahi thi, aur Mr Pelle ne apne uchha arthashaastriyon aur ministron ko iss smasya ka hal dhoondhne ke lie bulaaya..

"Machhuaare ab bandaragaah mein machhali nahin la rahe, sarkar!” ek ne kaha ..

"Shreemaan Pradhaan Mantriji, dveep par aaj kal sab asli machhali khaane lage hai, kharid daari bhi usi mein karte hai!” doosare ne kaha.

"Log bhaari maatra mein Bank se apni machhaliyan bhi nikal ne lage hai, aur toh aur, market mein cheezon ki keematein bhi girne lagi hai!” pareshaan Mr Bose bole.

Mr Pelle bahaut bhadke, badi saari gaalyan di,"Aisa kaise ho paaya! Kya kar rahi hai humari police! Humari bewakoof, kamzoor janta mein itni himmat kaise aagayi ki aise khud hi machhali bachale, khud hi ape bheech dhandha kar le!..

"..Yeh, yeh, yeh _kaala dhanda_ hai! Yeh saare chor, gunhegaar hai, jo apni hi sarkaar se chori kar rahe hai! Ise humein kisi bhi keemat pe rokna hoga! Bhejo police ko aur raid marvaao har jagah. Sabko saza milegi!

Police aur kar adhikaari lage kaam pe. Har ghar, dukaan, office pe chaapa marne lage, yahan tak ki chai ki tapri ko bhi nahi choda. Kai saare saadharan naagarik, machhuare, vyaapari pakde gaye. Yahan tak ki bachho ko bhi nahi choda.

Adhikaari toh bade khush the, unhein toh bas kuch namune udhaaran ke taur pe chahiye the doosre dveepwasion ko darane ke liye. Asal mein toh ve khud hi asli machhali muft mein andar kar rahe the, kyonki bechaare saadharan nagrik jail naa jaane ke liye kuch bhi karne ko taiyar the.

Kuch din adhikariyon ki yeh diwali toh badhiya chali, log bhi dar gaye the lekin, SAMBA kanoon yani Swachha hi Asli Machhalee aur Mehngai Bachao Act, se bachne ke raaste dveepvasi dhoondh ne lage.

Samajhdaar aur chintit apni bachat aur poonji ko bachane ke liye ab dveep ke bahar, videshi Banko mein deposit karne lage.

Yeh sunke Mr Pelle laal-peele hogaye, "Dveep drohi! Dveep drohi hai yeh saare ke saare! In aparaadhiyon ko rokane ke lie aur kaanoon lagao!

Yeh sunke Mr Fekle, jo kaafi samay se khaali baithe the, bade khush hue!

Kaanoon, Kaanoon aur Kaanoon!!!

Dveepvasiyon ko apni poonji bachane se rokne ke liye sansad ne ek aur kanoon lagu kiya, KAMBaL Act Kaali aur Asli Machhali Bahar se Laao Act.

Iss kanoon ke tehet, jab bhi koi dveep ke baahar se andar vaapas aata toh use bakayda aparaadhi hi maan liya jaata tha. Aise apradhiyon ko sabse pehle Kaali Machhali Karyalay ki khidki pe report karana padta tha. Yeh saabit karna padta tha, ki ve dveep se baahar koi bachat nahin chhipa rahe.

Aap mehsoos karsakte hai ki seedhe saadhe logon ke abhimaan ko kitni thes pahuchi hogi!

Sansad ne inn “aparaadhiyon” ko pakadane ke lie aur naye kaanoon laagu kiye. Iss baar jo bhi dveep se bahar jaata, usse sab kuch khol khol ke dikhana padta ki woh machhali dveep ke bahar le jaa raha hai ki nahi. Aur yeh kanoon sabhi ke liye laagu tha; bachhe, bade, boodhe, aadmi, aurat, yahan tak ki apango ko bhi nahi choda jaata tha.

"Oi! Ruko! Itni jaldi kya hai! Yeh kya leke jaa rahe ho apni bag mein!” Afsar ne ek naye naye shaadishuda jodi se poocha.

"Erm.. kya? Kapde hai, kuch zaroori saman hai. Aur kya?” yuva ladke ne jawab diya.

"Achha bachhu.. bada hoshiyaar bante ho!

"Isme hoshiyaar kya bane, shaadi ki hai, honeymoon pe jaa rahe hai!” Yuvak ne Afsar ko rokte hue kaha.

"Beta, tum dveep ke bahar ab 10 machhali se zyada nahi le jaa sakte! Chalo nikalo apni extra machhali.” Afsar ne jawab diya

"Arre, aise kaise?!” Yuvak ne poocha.

"Bachhu nayi nayi shaadi hui hai, naye naye kanoon par bhi dhyaan diya karo varna zyada lambi nahi chalegi tumhaari yeh prem kahani!” Afsar bada khush hua dialogue maar ke.

"Lekin, bhai saab. Aise kaise nahi leke jaa sakte. Hum honeymoon pe jaa rahe hai aur wahan humein kharche ke liye lagegi machhali toh hum kya karenge?!” pareshaan Yuvak ne afsar se poocha.

"Beta tum bahar machhali ko khao ya dhovo usse mujhe kya lena dena? Mera toh kaam kanoon laagu karna hai aur hum saare lakir ka fakir hote hai.

Achaanak, ek kutta uss yuvak pe kood pada aur yuvak cheekhne laga, "Bachao! Bachao!!

"Yeh hai Snort, humara naya, KDSD squad ka **sabse** pehla sipahi! Bakra noton ko **soongh** ke nikal leta hai yeh. Hai ki nahi kamal! Badhiya train kiya ki nahi isse. Chalo abhi nikalo tumhari Bakra Note.

"Woh kyon?” yuvak ki biwi, Seema ne poocha.

"Kyonki, tum ab bahar 10 se zyada Bakra note bhi nahi le jaa sakte. Samjhe?!” Afsar ke kadak aawaz mein kaha. In saadhaaran dveepwasiyon par adhikaar jamake khud ko behatar aur khush mahasoos kar raha tha Afsar.

"Lekin kyon?! Yeh humari machhali hai, humare paise hai jo humne badi mehnat se kamae hai.” (sniff.. sniff – crying?) "Ek toh papa beemar pad gaye toh saalo unki dawa daaru ke liye bachaya, phir saalo pet kaat kaat ke itna bacha paaya ki Seema ko khush kar saku. Itne papad belne ke baad kahi jaake Seema shaadi ke liye raazi hui, tab shaadi ke liye bachaya! Aur ab jab shaadi ho chuki toh aap keh rahe hai ki hum honeymoon pe nahi jaa sakte! Itne saalo ki jo maine mehnat ki, usi ko mein apni marzi se istemal nahi kar sakta?! **Yeh kaisa kanoon?!**

Bechara yuvak vahi rone laga aur Snort uss par bhaukta raha.

"Abe rona band kar! Yeh kanoon toh isilye laagu kiya gaya hai, ki hum un bade bade ghotale karne waale smuggler, aur jaali Bakra note chaapnewaalon ko pakad sake!” AfsarSnort ki peeth thap-thapa te hue kehta hai.

"Par mein toh koi bada aadmi nahi hoon, na maine kabhi aisa koi kaam kiya hai aur na mere paas koi aise paise hai, toh mera kya kasoor?! Yeh kya ho gaya hai dveep par! Mein agar apne hi paise apni marzi se nahi istemaal kar sakta toh yeh kaunsi aazadi?! Sarkaar humare adhikaar ki raksha kar rahi hai ya kuchal rahi hai?!” gusse mein Yuvakzameen se uthte hue kehta hai.

Raajneta yeh nahi chahte ki imaanadaar naagarik mahangai se bach paae. Janta agar apne paise sambhaal paaye, toh iss se raajnetaon ka logo par dabao kam hota hai. Logon pe dabao aur mazboot lagaam banaye rakhna toh yeh khel ka naam hai! Aur yeh lagaam kapati aarthik nitiyo ke dwara lagati hai sarkaar.

Choonki ab Swachh machhali itni chhoti ho chuki thi ki machhavre ab machhali bhi kam pakadte the. Saat machhaliyan pakadke sarkaar ko Bakra note ke badle dene se zyada fayada, unhein ek machhali chupane mein tha, jiske liye ab ve majaboor the.

Mamla yahan tak pahunch gaya tha ki ab naye naye karigar paida ho gaye, jaise Mawalawaale jo machhali idhar se udhar karne mein maahir the aur Boat Vaigyanik jo boat mein gupt kaksh banane mein maahir the.

Log ab machhali chupane mein zyaada mehnat aur samay laga te the, na ki koi utpaadak karya karne mein.

Bank mein machhali aana kam hoti gayi, iss vajah se ab dveep par Capital Loan ke liye machhaliyan kam aur kam hone lagi.

Ek din, dveep ka kumbhaar, Ghorpade bade utsaah se bank pahuch gaya loan lene. Ghante bhar rah dekhne ke baad uska number aaya..

"Namaste, Mr Bose!

Mr Bose thode chintit dikh rahe the Ghorpade ko khaali haath dekh ke.. "Are aao Ghorpade aao, lo chai piyo, kitni machhaliyan deposit karoge aaj?

"Arre, nahi Mr Bose, mein toh aaj aapse ek khaas kaam se milne aaya hoon. Darasal aisa hai ki mujhe loan ki zaroorat-

"phhhd..pphhhd, hahaha haha hahaha..” Mr Bose itne zor se hase ki unke muh ki saari chai Ghorpade ki nayi nayi kameez par utar gayi.

"Ghorpade tumhein loan chahiye.. arre Ghorpade yahan Water Works ki maintenance ke liye machhali nahi hai aur tumhein loan chahiye - aise chutkule kaam ke waqt na sunaya karo. Jao aaram se apne ghar jaake so jaao.

Yadi agar aap galati se bhi loan lene bank pahuch gaye toh, aapako ab aisa kuch sunne milta.

Dveep par ab zyada kaam nahi hota tha. Koi naya kaarakhaana nahin bana paata tha, yahaan tak ki maujooda vyavasaayon ko bhi apana utpaadan banae rakhane mein mushkile ho rahi thi.

Bakra note ke pehle ke muqable, majadoori aur keematen ab 600% adhik ho chuki thi.

Swachha machhali itni chhoti ho chuki thi ki ek dveepwaasi ab 7 machhaliyan khaake bhi santusht nahi ho pata tha!

Jaise jaise inflation badhta gaya, utni hi tezi se bank mein jama ki gai machhaliyaan apna mool kho rahi thi, islie dveepvaasiyon ko bachat ke naam pe ab nuksaan hota tha. Toh ab ve ya toh kam bachate the yah kai ne toh bachat karana hi band kar diya tha! Badhati keematon ke kaaran hone vaale nukasaan se bachane ke lie machhali ko ab jald se jald kharch karana padta tha.

Baam jo dveep ka part-time arthashaastri tha, ise Velocity of Machhali yaani Machhali Veg kehta tha. Baam ki ek parikalpana thi ki Machhali ke Veg se hum arthavyavastha ki sehat ki parakh kar sakte hai. Jitna zyada Veg utni behtar sehat.

Haqiquat mein sirf ek hi cheez badh rahi thi, arthavyavastha ke sabhi kshetron mein berojagaari.

Log ab bade dukhi rehne lage rhe, inflation se badhti keemteon ke saath saath, ab saare dveepvasiyon ko utna zyada kaam karna padta tha. Logon mein bechaini badhne lagi thi. Dheere dheere janta krodhit ho rahi thi!

Dekhte dekhte public raaston pe utarne lagi.

"Sir, yeh janta mein badi ashanti phail rahi hai..” ek mantri ne Mr Pelle ke dhyaan mein laaya kyonki veh videsh yatra ke alava kabhi apne kaaryaalay se baahar hi nahi nikalte the, aur na hi kabhi janata se baat karate – erm .. vote maange zaroor aate the, har admi se milte the. Utna toh zaroor baat kar lete the.

"kyon, koi kaam nahi hai unhein?” Mr Pelle thode chid gaye, yoga jo kar rahe the.

"Sir, mamla thoda serious lagta hai..” mantri thoda sahas juta ke ketha hai. Mr Pelle aisa sunna pasand nahi karte the.

"Humm .. yeh janta, matadaata bhi hai!“, khidki se jhaakte hue Mr Pelle kehte hai.. "Mamla gambhir lagta hai..” Mr Pelle turant Mr Bose ko bulate hai.


Closing

Maamla toh bada gambhir tha aur dveep ki janta ab jaagne lage thi. Aaj humne dekha sarkar kanoon pe kanoon lagaye jaati hai aur kaise dveep aur dveepwasiyon ki zindagi bad se battar hoye jaati hai.

Agle aur iss kahani ka aakhri episode mein hum dekhenge dveep ji janta jaagti hai aur dveep ke sabse bade apradh ka ant laati hai.

Ab iss episode ka sawaal, "Humare desh ke kaunse aise kanoon hai jis se aapke adhikaar kam hue hai aur aapki zindagi mein shaanti lane ke bajay ashaanti faila rahe hai?

Iska javaab humein aap humare twitter pe bhej sakte hai, aur sabse badhiya uttar bhejne wale ko HAZAAAR satoshi ka inaam diya jaayega, jise hum twitter pe ghoshit karenge. Satoshi kya hota hai, agar nahi jaante toh duckduckgo kariye ya show notes mein iski jaankari ki bhi link chodi hai!

Aap ko yeh episode agar pasand aaya toh khoob share kariye apne doston, rishtedaaron ke saath aur review zaroor chodiyega apne pasandita podcast application pe, humein bada protsahan milega aap ke liye aisi mazedaar kahaniyan laane mein.

Agar aap yeh kahani padhna chahte hai toh iss episode ki pratilipi yani transcript aapko humari website www.arthasutra.org pe milegi.

Agar app humse baatein karna chahte hai toh humein aap twitter pe zaroor likhiye.

Ab agli baar tak aapse mein ijazat leta hoon..