Opening
Namaskaar!
Aap sun rahe hai Arthasutra ki kahani Machhali ka teesra episode! Aaj ka episode hai: Mr Good Bank
Sabse
pehle toh mein aap sab ka bahut shukriya ada karna chahunga ki aap sab
ne humare pehle dono episode ko itna pyaar diya. Aapke pyaar bhare email
aur reviews padhke bahaut khushi mili aur iss podcast ko jaari rakhne
mein bada sahaara mila.
Pichle episode mein humne dekha kaise Amar aur Prem ne
ek aisa jaal banaya jisme unhein koi mehnat nahi karni padti thi.
Humnei yeh bhi dekha ki aapdaayein do tarah ki hoti hai, do tarah ke
loan aur iss saral dveep ke gundey se bhi mile.
“Aage sunte hai iss chote se dveep ki badhti hui kahani..”
Bade Dveep Ki Arthavyavastha
Humara
chotasa dvep ab bada ho raha hai, naye naye log hai aur unki nayi
chunautiyan. Hum yeh bhi jaanenge, humare iss chote dveep ke aarthik
niyam, bade samaaj mein kaam kar sakte hai bhi ki nahi…
Hari ki saral aur sadharan ichchha, aatma-balidaan se poonji jama karnese, kai dveep vaasiyon ko laabh mila.
Hari ko dekh kai logo ne apane jaal banaye aur apna jeevan behtar kiya.
Lekin
sabhi ke paas jaal banane ka aur machhali pakadne ka kaushal nahi tha.
Ve doosron se apni roz ki zaroorat ki machhali kharidte aur badle mein
alag alag upkaran, auzar aur zaroorat mand cheezein banake dete.
Koi
table aur kursiyaan banaata toh koi jhoola, ya haanth gaadi. Naav
banaane vaale the, koi building bhi banata tha.. dveep par ab sab kuch
milta tha.
Dveep
vaasiyon ke liye har cheez ka mol machhali ke hisaab se lagta tha.
Saare dveepwasi din ki ek machhali khate the toh har cheez ka mol usi
hisaab se lagta tha.
Jaise
dveepwasi apni zindagi ko behtar banate gaye aur apni bachat badhate
gaye, unke paas apni iss badhti hui poonji ko surakshit rakhne ke liye
koi achhi vyavastha nahi thi.
Yahi
nahi, unke paas udhaar, nivesh jaise madhyamo se apni poonji ko badhane
ke upaay bhi bahut kam the. Aur vyaktigat roop se, har ek ke paas na to
samay tha aur na hi ve vyaavasaayik prastaavon ko thik se parakh ne ka
anubhav rakhte the.
Ek din samudra tat par Amar, Prem aur iss dveep ke ek imaanadaar aur buddhimaan sadasy, Mr. Good Bank baat cheet kar rahe the.
Tab Amar kehta hai, “Mere ghar mein ab itni machhaliya ho gayi hai ki chalne ki bhi jagah nahi bachi!”
“Kam se kam surakshit toh hai, mere ghar toh billiyan mandrati rehti hai. Chain se sone bhi nahi deti!” Prem thoda pareshaan tha.
Mr Good Bank dveepvasiyon
ki yeh samasya se vaquif the aur unhein ek bahut hi badhiya vyapaar ka
idea soojha, “Main dveep ki poonji ko sambhaal ne ke lie ek bade
bhandaar ki suvidha ka nirmaan karoo toh kya aap iska istemaal karoge?”
“Are yahi toh chaahie humein!” Amar bade khushi se kehta hai.
“Lekin yeh bhandaar chalega kaise?” Prem ne poochha.
Machhali Bachat aur Credit Company
Mr Good Bank ne apni nayi company khol di.
Hari jaise iss dveep samaj ke kai sadasya apni bachai hui machhaliyan Mr. Good Bank ki iss nai Machhali Bachat aur Credit Company mein deposit karne lage.
“Shukriya Hari, yeh lo aapki raseed.”, Mr. Good Bank ne Hari ko apne bharose ke lie dhanyavaad diya, aur Hari ko aashvaasan diya “Tumhari yeh jama poonji bina koi kaam kiye ab byaaj kamaegi.”
“Shukriya Mr. Good Bank“, raahit Hari khushi khushi apne ghar laut jata hai.
Iss tarah kai dveepwasi Mr. Good Bank ko apni bachat ke nivesh ki zimmedaari saupte hai.
Ab agar kisi ko loan ki zaroorat padti hai to unhe kisi ko dhoondhne jaane ki zarrorat nahi, sirf Mr. Good Bank se hi milna padega.
Jaise iss dveep ka lohar Mr. Good Bank ke paas jaata hai aur kehta hai, “Mujhe ek auzaaron ki factory banani hai aur use banane ke liye kuch machhali udhaar lagegi.”
“Humm..
tumhara naam toh kafi saaf hai, log bhi tumhein pasand karte hai aur
tuhara kaam bhi achchha hai. Yeh bhi sahi hai ki ek auzaaron ki factory
ki iss dveep ko kafi zaroorat hai. Main khushi khushi tumhein isske liye
loan doonga” Mr. Good Bank lohaar se haanth milate hai aur loan ke paper sign karte hai.
Unaki samajhadaari aur roodhivaadi dekh bhaal mein dveep ki bachat aur vyapaar bade zoro shoro se badhne lage.
Mr. Good Bank bade
akhanda vyakti the, aur woh chhuttiyon jaisi upabhokta yani Consumer
loan deke, apne dveepawasiyon ki bachat ko jokhim mein nahi daal sakte
the. Dveewpwasi unpe bada vishwaas rakhte the.
Lekin, Mr. Good Bank nirdayi
bhi nahi the, agar koi bimaar hojaye, ya koi gambhir samasya mein pad
jaaye toh unhein Consumer Loan deke ve madat zaroor karte.
Aisi sthiti ke liye, badi buddhimaani se Mr. Good Bank ne kul bachat ka ek chhota sa hissa alag ek Emergency Fundmein rakh diya tha.
Jo log aisa udhaar lete the, ve usse chukaane ki poori koshish karate the, kyonki Mr. Good Bank ne unki zarrorat ke samay pe unki badi sahayat ki, aur ve sab ek chote samaj mein rehte the jahan sabhi ek doosre ko jaante the.
Par
agar aise karjadaar kisi karan apna udhaar na chuka paaye, tab bhi
dveep ki bachat ka mool hissa surakshit hota aur zaroori pariyojnao ke
lie upalabdh rehta tha.
“Humare
Bhaarat mein ek badi achhi sanskriti hai. Har parivaar bachat ko bada
mahatva deta hai. Khaas kar ghar ki auratein aisi aapaatkaaleen
sthitiyon ke lie niyamit paise bachaane ki aadat rakhti hai. Yeh ek
amoolya aur mahatvapoorn sanskriti hai humare desh ke logon ki. Aisa
karane se, hum na keval apni aur apane parivaar ki raksha karate hain,
balki hamaare doston aur rishtedaaron ki zaroorat ke samay mein bhi kaam
aate hai.”
“Aage sunte hai..”
Ab kai peedhiyaan beet chuki hain aur iss dveep mein badi pragati aayi. Dveepvaasiyon ki mehnat aur dveep ki poonji Mr. Good Bank aur unke beton ke kaabil netrutva mein.
Log ab bhi apani bachat bank mein jama karte hai, aur Loan ke phaisale, ab Mr. Good Bank ke pote ke dvaara kiye jaate hai.
Log unhe pyaarse Baabuji bulate the.
Sarvajanik Fund
Zaahir
hai ki saare nivesh ke prastaav bina jokhim ke toh nahi the. Kuch log
zyada jokhim lena chahte the, jo agar kaam kar gaye toh unke laabh bhi
utne zyada mitle. Par chunki Babuji zyaada jokhimwaale udhaar nahi dete the, aise logo ko nivesh ke liye paise milna bahaut mushkil tha.
Jaise Amol. Amol aur uske dost ek maanav gulel ka nirmaan karana chaahate the. Jab unhone Babuji se
poochha, “Aap humein udhaar dene se kyuon mana karte ho? Humara idea
zara alag zaroor hai lekin agar yeh kaam kar gaya, toh bada hit hoga.
Aur hum saara udhaar chuka denge.”
Babuji ko aisi yojna par bilkul vishwaas hi nahi tha, aur jokhim dekh ke toh unhone Amol ko taal diya.
Jaise nirash Amol aur uske dost Babuji ki office se nikle toh kisi ne peeche se aawaz di, “Kya mein aap logon ki madat kar sakta hoon?”
“Ji, aap kaun hai?” Amol ne pooncha.
“Amrish naam hai, Sarvajanik Fund ka maalik. Mere saath agar apani poonji jama karoge toh main tumhari iss jokhimwaali idea mein nivesh karoonga.”
“Achha! Bada munafa hoga! Hum vishwaas dilate hai!” Amol dilasa dilata hai.
“Amrishji ko hum thik se jaante toh nahi, lekin agar ve humari company mein nivesh karenge toh humari poonjee ko Sarvajanik Fund mein rakhne ka jokhim toh le hi sakte hai. Kyon, kya kehte ho bhai log?” Amol apane doston ko manane ki koshish karta hai aur ve Sarvjanik Fund mein apni poonji jama karvate hai.
Ab dveepvaasi apni poonji ki badhat ka vishvaas, Babuji ki soojh boojh pe rakhte the. Aur wahi, Sarvajanik Fundjokhim lene vaalon ke lie nivesh karata hai.
Kuch samay baad, Amol ki yeh ajeeb idea, Manav Gulel, kaam kar hi gayi. Company ki pragati dekh Amol, Amrishji se khushi khushi kehta hai “Logon ko bada mazza aa raha hai aur hamaari Manav Gulel Company ka munaapha bhi badh raha hai! Shukriya Amrishji humari idea be bharosa rakhne ke liye.”
Amrishji bhi bade khush hue.
Lekin, Amrishji ke saare nivesh safal nahi hote the jaise, Chakka Boat Company toh doob hi gayi.
Iss tarah, dveep ki artha vyavastha sabhi ke hit mein kaam karti rahi..
Paani ki Samasya
Dveep
mein, saaf paani ki badi samasya thi. Paani toh kaafi tha, lekin paani
pahad ke niche ki jheel se laana padta tha. Isliye, log jheel ke kareeb
hi reh pate the.
Ab,
asisa hua ki ek saal bada bhayaanak sookha pada! Samajh lijiye ki dveep
samaj bas khatam hi ho chuka tha. Badi mushkil se ve ek doosre ki madat
kar ke bache. Dveep samaj ko bada nuksaan hua.
Ab
aisi aafat samaaj ko nasht na kar paaye, aur logo ki taklif kaise kam
ki jaaye, yeh sabse bada mudda tha. Saare iska hal dhoondhne mein lage
the.
Ek din, jheel kinaar baithe baithe, Sejal, jo dveep par basket banati thi, uske dimaag ke chakke ghoomne lage..
“Yeh,
prakriti mein jab baarish hoti hai, ya pahaad se paani neeche aata hai,
toh vho talaabon mein ikattha hota. Jheel ka paani jab kam hota hai tab
hum taalab se hi toh paani lete. Toh hum ek bada talaab hi kyun na
banae! Aur, hum iss talab se agar aise chote chote naale humare ghar tak
le aaye toh humein jheel tak aana bhi nahi padega!”
Jaise hi Sejal ko yeh idea aaya, woh daudti hui Babuji ke paas gayi aur apna idea bataya. Babuji bhi iss samasya ko leke bade pareshaan the aur Sejal ka yeh idea sunke bade prasanna hue. Yeh idea unhe jam gayi.
Project
toh bada tha lekin dveep samaaj ki poonji ab itni badh chuki thi ki
aisa bada project karna ab dveepvaasiyon ke liye sambhav tha.
Babuji bade khushi se bole, “Plan banao, mein tumhein iske liye Loan zaroor doonga!”
Water Works Project
Sejal ne din raat mehnat karke talaab ka plan toh bana liya. Project bada tha, taalab ki jagah, aakar, maap, pipeline, Sejal ne saara plan kuch samajhdaar logo ke saath milke banaya.
Water
Works Project ko poora karne ke liye kul 250 log aur do saal ki mehnat
ki zaroorat thi. Iske liye kul 5,00,000 machhaliyan lagne vali thi.
Iss
project mein dveep ki poonji ka bahut bada hissa nivesh kiya gaya. Agar
yeh safal nahi hua, toh smaaj ki poonji ko bada nuksaan hoga. Lekin
agar yeh kaam kar gaya, toh iska laabh kai guna milega.
Water
Works ka kaam bade joro-shoro se chalu hua aur logon ne badi mehnat ki.
Kaam toh bada mehnat ka tha, lekin saare badi khushi se kaam kar rahe
the. Kyunki, hakikat mein ve khud ke liye hi kaam kar rahe the. Unhe
pata tha ki iska laabh unhe, unke parivaar aur unke samaaj ko milega.
Dhamakedaar Saphalata
Dekhte dekhte, do saal beet gaye aur Water Works ka
kaam bhi poora hogaya. Pipeline se ab dveep ke kone kone tak paani
milne laga. Iss project se dveep samaaj ko behisaab fayda hua, logon ki
suvidha aur dveep ki arthavyavastha mein badi pragati aayi!
Log ab door door tak apna ghar, khet, udyog laga sakte the. Sinchai se phasal kharaab hone ki sambhaavana bhi kam hui.
Har
din paani dhorne ki zaroorat se mukt ab dveepvaasi aur doosre, naye
naye kaam kar sakte the, apna jeevan behtar banane ke liye unke paas
zyada samay aur oorja bachne lagi!
Water Works Project ne apana udhaar aur byaaj samay se chukaa diya aur dveep ki bachat poonji aur badhi.
Bada Arthshaastra, Chhota Arthashastra
Kuchh
dveepavaasiyon ko yeh lagne laga ki chhote samaaj ke arthashastra ke
siddhant, bade aur jatil samaaj ko nahi lagaye jaa sakte, unke sidhhant
alag hote hai.
Lekin
yeh bilkul galat hai. Buniyaadi aarthik siddhaant ek arthavyavastha ke
aakar badalne se nahi badalate, lekin jatil aur bade bade, uljhe hue
shabdon ke karan sirf unhein pehchanne mein mushkil ho sakti hai.
Poonji, byaaj, bachat, udhaar, nivesh aur saamaajik aur aarthik pragati ke beech ka sambandh hamesha barkarar rehta hai.
Jaise
ganit ke siddhaant savaal ke aakaar ke saath nahi badalate.. ek baar 2
guna 2 karo ya 2000 baar 2 guna 2 karo, siddhaant wahi hai.
Closing
Aaj humne dekha kaise humara yeh chhota dveep bada hua aur naye naye dveepwaasiyon se bhi mile. Kaise Mr Good Bank saare samaaj ke jeevan ka star badhane mein madadt karte hai, Sejal ki buddhi aur Water Works project ki dhamaakedaar saphalta.
Agle episode mein hum dekhenge iss dveep ki sarkaar kaise banti hai aur kya karti hai.
Ab
samay aagaya hai iss episode ke savaal ka.. savaal hai.. “Kya sahi mein
chhote samaaj ke aarthik niyam bade samaaj mein kaam kar sakte hai? Aur
kyon?”
Iska
javaab humein aap humare twitter pe bhej sakte hai aur sabse badhiya
uttar bhejne wale ko HAZAAAR satoshi ka inaam diya jaayega jise hum
twitter pe ghoshit karenge. Satoshi kya hota hai, agar nahi jaante toh
duckduckgo kariye ya show notes mein iski jaankari ki bhi link chodi
hai!
Aap
ko yeh episode agar pasand aaya toh khoob share kariye apne doston,
rishtedaaron ke saath aur review zaroor chodiyega apne pasandita podcast
application pe, humein bada protsahan milega aap ke liye aisi mazedaar
kahaniyan laane mein.
Agar aap yeh kahani padhna chahte hai toh iss episode ki pratilipi yani transcript aapko humari website www.arthasutra.org pe milegi.
Agar app humse baatein karna chahte hai toh humein aap twitter pe zaroor likhiye.
Ab agle episode tak aapse ijazat leta hoon.