Transcript | प्रतिलिपि : Machhali 05 : Inflation | इन्फ्लेशन

Machlee ep05 – Inflation

Opening

Namaskaar!

Artha Sutra ki kahani Machhali ke paanchve episode mein aapka swaagat hai. Aajka episode hai: Inflation, lekin kahani shuru karne se pehle mein humare listener Mr Subhramaniyam ke teen prashno ka uttar dene ki koshish karunga:

Q1: Episode 3 mein Water Works Project ne apna loan kaise chukaya? A: Water Works, pani ki suvidha pradaan karne ke liye har grahak se mahine ki fees leti hai. Aise fees ikattha karke Water Works apna loan chukati hai.

Q2. Jo log Water Works ki suvidha nahi lete ya fees nahi bhar sakte, unka kya? A: Sankhep mein iska javab hai ki ve log ab bhi khud mehnat karke jheel se paani le sakte hai.

Q3: Agar saare log zyada machhali pakdte hai toh kya saari machhli khatam nahi ho jayegi? A: Iska jawab sankshep mein dena thoda mushkil hai. Lekin iss samasya ka ek hal aisa hosakta hai, ki jaise har kisan apne apne khet mein kheti karta hai, waise hum samudra ke plot banae, aur machhvare apne apne plot mein machhali pakde. Par yeh sahi hai, ki har samaj unta hi badh sakta hai, jitne saadhan uss samaj mein uplabdh ho.

Mr Subhramaniyam ne bade achhe prashn pooche, aap ko agar koi prashn ho toh zaroor puchiye, hum jawab deneki poori koshish karenge. Ab kahani ko aage badhate hai..

Pichle eisode mein humnein dekha dveep pe sarkar kaise banti hai, aur samay ke saath sarkaar mein kaise parivartan aate hai, humne yeh bhi dekha kaise sarkaar dveep mein paison ke naam pe kagaz ki noton ka aavishkaar karti hai.

Ab dekhte hai Mr Good Bank aur sarkar ki takkar..


Oopar se Dabaav, Neeche se Dabaav

Ab asia hua ki, yeh Bakara Paisa System ki idea ko lagu karne ke pehle, MR Pelle ne Mr Good Bank se baat-cheet toh ki thi. Tab Mr Good Bank ne iska kada virodh kiya, par Mr Pelle aur unke Ministeron ne unhe dilasa dilaya, ki ve apane credit dene ke adhikaar ko uchit aur vivekpoorn tarike se hi upayog karenge! Mamla aisa tha ki laalachi matadaata aur full majoritywaali Sarkaar ke beech akele bechare Mr Good Bank kar bhi kya lete!

Ab mantriyon ko kaun nahi jaanta. Jaisa har kanoon mein hota hai, jald hi Bakra note ka kanoon banne ke baad, chonki Mantralay mein Sarkaar ki full majority thi, aur koi poochnewaala nahi tha, Bakra Note kanoon mein rakhe hue saare bandhan, rukavate aur pratibandhwaali saari dhaarae sarkaar ne amendments kar kar ke nikal di.

Ab kanoon aisi bhasha mein likhe jaate hai, ki janta padhte padhte khud hi shabdon ke beech ulajh jaati hai. Mamla toh isse bhi bura tha, dveep par janta ab kanoon aur sarkar kya kar sakti hai, yeh sarkar ke bharose chod chuki thi. Yeh bhool chuki thi ki sarkaar unke liye kaam karti thi, aur sarkaar thik kaam kar rahi hai ya nahi, iski zimmedaari janta ki hi hai.

Dekhte dekhte, pehele saal ke ant tak Bakra notes ke maadhyam se bank mein rakhi machhali ki badi maatra khaali ho chuki thi.

“Aise toh hum barbaad hojayenge” bank ke locker khaali hota dekhakar Mr. Good Bank bahut chintit hue. “Iss saal bachat karnewaalon ko laabh ke bajay nuksaan jhelna padega! Pehle jab mein har 10 machhali pe 12-13 de pata tha ab sirf 9 hi de paaonga..!”

“.. yadi logon ko yeh pata chal gaya toh ve apni machhaliya vapas le jaayenge!”

Dveep par log ab baat bhi karane lage the.. BablooTaploo se kehta hai, “”Suna tumne, yeh Mr Good Bank ki bank khaali ho rahi hai. Lagta hai business zara narm chal raha hai bank mein!”

“Kaun paravaah karata hai? Kya fark padta hai? Waise bhi bank mein bade paise pade hai, thode humein miljaaye toh achha hi hoga!” Taploo ne jawab diya.

“Yeh kaisi mand baat kar rahe ho Taploo! Har kisi ko paravaah karani chaahie, poora samaj bachat par nirbhar hai! Aur Mr Good Bank iss bachat ko smabhaal kar rakhte hai, unki bank agar khaali hojaeyi toh smaaj ka kya hoga!”

“Toh kya, log apane paise apne ghar bacha lenge!” Taploo badi hoshiyaari se jawab deta hai.

“Arre mere Taploo, Mr. Bhulakkad, aisa agar hogaya to hum kaee saal pichhad jaayenge! Poonji ka yeh bhandaar jo aaj upalabdh hai woh agar nasht hogaya toh hum humari system, jispar nirbhar hai, yeh itne saalon ka Capital jo humnei, humare dadao, par-dadaon ne badi mehnat se kamaya hai, bachaya hai humare liye, isko kaise sambhaal paayenge. Aur toh aur, naye project toh karna phirse bahut mushkil hojayega!” BablooTaploo ko yaad dilata hai ki samaaj ki bachat aur poonji ko sambhaalna aur uski rakhsa karna kitna zaroori hai.

Mr Good Bank Water Works Project ke baare mein soch rahe the, jiski badulat aaj dveep samajne itni pragati ki hai, logon ki zindagi mein itna aaram aya hai.

“..Water Works takriban 100 logon ko kaam deta hai aur saal mein 55,000 machhaliyan toh sirf inke liye lag jaati hai. Agar bachatkarta bank mein machhaliyan bachana chhod de, toh ve Water Works ke logon ko kaise khila paayenge! ..”

“..aur phir maintenance ke paise kahan se laayenge?! ..”

“.. yadi sabhi majadoor phir se machhali pakadane lag jaaye toh ve naukari nahi kar paayenge, aur poore project ko band karna pad sakta hai!”

“..Isse pure dveep ki arthavyavastha tehes nehes ho jaayengi! Nal mein paani aana band ho jaayega! Logon ko phir se paani ke paas rehna padega!”

“.. Phir se wahi baalti dhone ke din dkhne padenge ..”

“.. log naukari nahi kar paayenge .. abhoot poorv berojagaaree ho jaayegi! Yeh toh anarth ho jaayega!”

“.. Mein aisa nahin hone de sakata”, Mr Good Bank ne thaan li aur daude chale Mr Pelle se milne.

Mr Good Bank ne Pradhaan Mantri Mr Pelle ke saamne apni saari baat rakhi, “Ek baar logon ko ehasaas hone lage ki ve apni bachat bank mein jama kar ke kho rahe hain, toh ve bachat karana band kar denge! Tab aap hamaari poori arthavyavastha bikharta dekhoge, slow motion mein bhookamp dekhne jaisa!”

“Mr Good Bank itne utsaahit naa hoiye! Bachatakartaon ko yeh kya jaanne ki zaroorat hai ki unaki bachat sikud rahi?” Mr Pelle apni cigar ke dhooe ke beech, muskuraate hue Mr Good Bank se poonchte hai.

“Kyon, Disambar aa chuka hai! Kuchh hi haphton mein, main mere saare depositors ko apana saalana bank statement doonga aur har saal jo 12-13 machhaliyaan prati 10 machhaliyon pe byaaj milta tha, iss saal keval 8 ya 9 hi machhaliyan mil paayengi! Depositors ka toh loss hoga!” Mr Good Bank bina ruke bole apne maathe ka paseena pochte hue.

“tchh-tchh-tchh.. Mr Good Bank hum sarkaar aise hi thodi chalate hai, hum badi doooor-darshitiwaale hai .. hum pehle hi ispe kaam karna shuru kar chuke hai, iska bhi hal hai humare paas!” Mr Pelle ne ashvaasan diya.

“Machhali ke visheshagyon ko bulao!” Mr Pelle apne assistant ko chillake aadesh hai.

Kuch minton baad, machhali se bhari thaali ke saath machhali visheshagya Mr Dhooe aate hai .. “Pai laagu Mr Pelle. Humne badi pragati ki hai sarkar. Hum machhali ki purani khaal, poonchh aur kankaal ikattha kar rahe hain! Dekhiye, ab main aapako dikhaata hoon. Assitant! Dikhaao Pradhan Mantriji aur humare pyaare Mr Good Bank ko humne kaisa kamaal kiya hai!”

Assistant bada khush hua, use apni karigiri dikhane ka mauka mila. Usne ek sukhi machhali li aur shuru hogaya churi leke, khach khach khacha khach, khach khacha khach badi kalakaarise usne machhali ke kuch tukde kiye, phir gond leke chap chapa chap, chap chapa chap sab ke saamne usne apni kala pesh ki, “Yeh lijiye janab, hogayi aapki ek machhali se do!”, Assistant bade garve se kehta hai.

“Kya chal raha hai ye??” hairaan pareshaan Mr Good Bank yeh dekh hakka-bakka hogaye!

Toh Mr Dhooe ne badi gambhirta se Mr Good Bank ko samjhaneki koshish ki, “Dekhiye janab, yeh thodi advance technology hai aur badi kathin bhi. Lekin mein aapko samjhane ki koshish karta hoon, aur aap jaise hoshiyaar, samajhdaar admi ke liye itni mushkil nahi hai. Aisa hai, humne badi kamyaabi se ek asli machhali ka kuch iss tarah maans liya aur ek purane kankaal pe chipka ke badi kalakaari se uspe puraani khaal lagake aisi machaali taiyaar ki hai ki woh asli machhali jaisi hi lage!”

“Jo pehle hum kachra samajhte the usse humne ab do asli machhali taiyaar ki hai! Genius, hai na?” bade garv se Mr Pelle ne Mr Good Bank se kaha.

“Hum ise swatchh machhali kahenge aur saare depositors..”

“Depositors samajh jaayenge! Yeh kya behuda baat kar rahe hai aap! Kya aap mujhe bewakoof samajh te hai ya, aap apna dimaag kho baithe hai!” Mr Good Bank yeh sab sunke bade krodhit hue, “Dekhiye! Yeh jo aap swatchh machhali keh rahe hai, asli machhali se kitni sukdi hui dikthi hai.”

“Pch.. na na na..” Mr Dhooe sir hilate bole, ” arre swatchh machhali itni choti thodi hogi, hum har 4 aslli machhali se 5 swatchh machhali banayenge taaki ve keval 20 pratishat hi chhoti rahe!”

“Haan! Badhiya idea hai! Tum isiliye achhe visheshagya ho Mr Dhooe!” Mr Pelle bade khush hue ki unke paas itna samajhdaar visheshagya tha. “Mr Good Bank, isse kisi ko kaano kaan khabar nahi padegi. Aur, isake alaava hum dveepavaasiyon ko asali machhali ki tulana karane se rokanege. Iske lie bhi ek aur kaanoon bana lenge!”

Yeh sunke bagal mein baithe Kannon Mantri Mr Fekle bade khush hue, apna sir hilaate bole, “Haan! Ek kaanoon banayenge! Mein likhna shuru karta hoon!”

Mr Pelle apna genius plaan sunate gaye Mr Good Bank ko, “Hum kahenge ki hamaare scientists ne machhaliyon mein ek khataranaak beemaari ka pata lagaya hai..”

-“Haan! Chomu beemari.” Mr Dhooe beech mein bole. –

“..aur saare dveepvasiyon ki suraskha ke liye, public ko aadesh hoga ki sabko apni saari asli machhaliyan humare Swachha Machhali Karyalay mein deposit karni hogi aur wahan se unhein shudhha ki hui Swachha Machhaliyan milengi!”

“.. aur swachha karne ki prakriya yeh samajhaane mein madad karegi ki swatchh machhali thodi ajeeb sukdi si kyon lagati hai ..”

“.. samaaj ki suraksha ke lie koi bhi dveepwasi asli.. erm- mera matlab hai- Chomu beemari se dooshit machhali ko rakhte, bechte ya khaate pakde gaye toh unhein saza, jurmaana aur/ya jail bhej diya jaega! ..”

“.. aur sabase mahatvapoorn baat, ab se koi bhi samundar mein machhali nahi pakad sakta, sirf sarkar dvaara Licenced machhvaare hi machhali pakad sakte hai! Muft machhali ka zamana gaya! Ordinance No. 666! Hahaha!”

“Par yeh sab karne ke liye aapko bahaut sare poore aur achhi sthiti mein machhaliyon ke avasheshon ki zaroorat padegi Mr Pelle? Woh kahan se aayenge?” iss jangali vichaar ko sunakar Mr Good Bank ne poocha.

“Woh kaunsi badi baat hai, hum ek aur tax laga denge! Apne sadhaaran tax ke alava, har naagarik ko saalana 365 machhali ke shav aur khaal tax ke naam pe dene padege!”

“Par naagarik apani machhaliyon ke shavon aur khaal ko achchhi sthiti mein kyon denge?” ashankajanit Mr GoodBank ne poochha.

“Toh hum unhein kahenge ki bimaari ko rokane ke lie saari machhali ke avasheshon ko hamaare vishesh machine se hi jaana chahiye..”

“.. aur humare upkaran mein keval achchhi sthitiwaale avashesh hi gujar sakate hai! Aur jo shav achhi sthiti mein nahi dega use tax credit nahi milega” .. “haahaaha”

“Lekin Mr Pelle, yeh aapki yojna lambe samay tak nahin chal sakti! Antatah, jeene aur vikaas ke liye, lagne waali asli machhali khatam hojayegi ..”

“.. tab dveep ki saari aarthik sanrachana nasht ho jaegi!” bhauchakka Mr Good Bank chillane lage.

“Hum jaanate hain! Lekin yeh agale chunaav tak kaam kar jaayega. Aage ki chinta hum agle election jeetne ke baad karenge, isiliye toh janta humein chunti hai ki hum unki samasya ka hal nikale – jo aaj tak nahi nikla aur kabhi nahi aayega, varna humri kya zaroorat! HAHAHAH” Mr Pellebole aur saare minister pet pakad hasne lage.

Wahan Mr Good Bank sabko hasta dekha avaak rhegaye. Unhein vishvaas hi nahi ho raha tha woh kya sun rahe the.

“..Aur toh aur, Mr Good Bank iss saal ke byaaj ka bhuktaan karne ke liye hum aapko jitni machhali lagegi utni swatchh machhali muft mein denge!”

“Yah yojana humein ek mahaan samaaj sthaapit karane mein saksham banaega Mr Good Bank, aap chinta kyon karte hai!” santusht _Mr Pelle, Mr Good Bank ko peeth thapathapaa ke kehte hai.

“Toh, kya kahate ho Mr Good Bank? Aap is pragatisheel yojana mein humare saath hai na?” Mr Pelle ne Mr Good Bank ko neechi aawaz mein gambhirta se pooncha.

SaathYeh Yojna HaiYeh dhokha haiDhokha! Main aisa nahin hone doonga!”

“Mujhe issi baat ka dar tha!” Mr Pelle ne sar hilate hue apni narazgi jatai.

Mahaan samaaj? Mera joota mahaan samaaj! Yeh ek Mahaan Jhaansa hoga. Agar koi gun aap saare mantriyon mein saman hai toh woh beeemaani hai! Isse pehle ki mein aise anarth mein saath doon, mein bank ko band kar doonga aur logon se keh doonga ki ve apani machhali ghar par hi bachale aur..”

BAS! Bahaut sun liya maine! Security!” Mr Pelle ne chillake security ko bulaya.

“Nikalo bahar isse aur Mr Bhale Dulaare Bose ko bulaao!”

CHOR! DARINDE! BEIMAAN!” haath pair hilate hue Mr Good Bank ko security ghasithte hue bahar le gayi.

Mr Good Bank ke sach aur kathor shabd aise gire jase ulte matke pe paani. Uss kamre mein sach sunne waala koi nahi tha..

Kuch der baad Mr Bose pahunche Pradhan Mantri ke kamre mein, “Mr Bose, aap ab se Machhali Bachat aur Credit Company ke naye nirdeshak hai – er.. hamaari nigaraani mein!” Mr Pelle ne saare mantriyon ke saamne ghoshit kiya.

“Mein kabse kaam shuroo karoon? Mera rubber stamp kahaan hai?” utsaahit Mr Bose apne aapko poochne se na rok paaye.

Agali subah..

“Arre .. yeh kya hai! .. yeh .. yeh t-toh Mr Good Bank lagte hai!” ek machhuaare ne apana jaal kheenchte hue dekha.

Jaise hi machhwara tat pahoonchta hai, Mr Pelle unke mantriyon ke saath usse milte hai.. “Tch Tch tch.. bechare Mr Good Bank bhale aadmi the, bade sammanit sadasya the humare iss samuday ke.. kaisa durbhagya humara ki ve chal base.. aur yeh spasht hai ki ve prakratik karan se chal base.. ” Mr Pelle ne badi aasani se apna tvarit nirnay de diya.

“Hum Mr Good Bank aur unake parivaar ne jo humare dveep ki seva ki hai usske sammaan mein ek shaanadaar antim sanskaar rakkhenge.” Mr Pelle ne ghoshit kiya.

Alge din, magaramachchh ke aansuon se dhule prashansa ke bade bhaashan diye gaye Mr Good Bank ke naam ..

Lekin dveepvaasi yeh nahi jaante the ki unhone keval Mr Good Bank ko hi nahi balki dveepki imaanadaar banking ki parampara ka bhi antim sanskaar kar diya tha!

Mr Bose ne _Mr Pelle ki Swachh Machhali yojana ko anjaam de diya aur woh kaam kar gayi.. asli machhali se swatchh machhali mein dveep ka parivartan ho gaya.

Janta ne apni Sarkar aur Bank ke beech ke sambandh ke baare mein na kabhi koi sandeh, nahi koi beeemaani ka sawaal uthaya.

Samay ke saath badi maatra mein bakra notes jaari kie gae isliye adhik se adhik maatra mein swatchh machhali bhi banani padi. Aur zahir hai ki swatchh machhali chhoti hoti gayi ..

Antatah, swatchh machhali ab asli machhali ki tulna mein aadhi ho chuki thi, jisse dveepwasi ab din ki do machhali ka sevan karate hain.

Keematein jo dveepwasiyon ke din ki machhali ki zaroorat par basi thi aur inte saalo sthir hua karti thi ab badhne lagi, aur aaj Bakra notes ke jaari hone ke baad har cheez ki keemat dugna ho chuki hai.

Zaaahir hai log sochte rahe yeh keematen kyon badhane lagi, par samajh nahi paaye.

Tab sarkar ne jawab diya .. “INFLATION”!


Closing

Aaj ka episode hum yahi smaapt karte hai. Aaj humne dekha kaise Swachha Machhali dwaara, sarkaar ne ek machhali ka mulya ghataya jise ve inflation kehte hai. Jis se number zaroor badhta hai lekin mulya kam hota hai.

Ab iss episode ke sawaal ka waqt aaya hai, sawaal hai.. “Inflation se humaare samaaj ko kaise nuksaan hota hai?”

Iska javaab humein aap humare twitter pe bhej sakte hai, aur sabse badhiya uttar bhejne wale ko HAZAAAR satoshi ka inaam diya jaayega, jise hum twitter pe ghoshit karenge. Satoshi kya hota hai, agar nahi jaante toh duckduckgo kariye ya show notes mein iski jaankari ki bhi link chodi hai!

Aap ko yeh episode agar pasand aaya toh khoob share kariye apne doston, rishtedaaron ke saath aur review zaroor chodiyega apne pasandita podcast application pe, humein bada protsahan milega aap ke liye aisi mazedaar kahaniyan laane mein.

Agar aap yeh kahani padhna chahte hai toh iss episode ki pratilipi yani transcript aapko humari website www.arthasutra.org pe milegi.

Agar app humse baatein karna chahte hai toh humein aap twitter pe zaroor likhiye.

Ab agli baar tak aapse mein ijazat leta hoon..