Transcript | प्रतिलिपि : Machhali 08 – Haquikat ka Danda! हक़ीक़त का डंडा!

Machhali Ep 08 – Haquikat ka Danda!

Opening

Namaskar!

Arthasutra ki kahani Machhali ke aathve aur iss kahani ke aakhri episode mein aapka swagat hai. Aaj ke episode ka naam hai – Haquikat ka Danda!

Danda toh aaj jamke padega..

Pichle episode mein humne dekha sarkar kanoon pe kanoon lagaye jaati hai aur kaise dveepwasiyon ki zindagi bad se battar hoye jaati hai. Mamla gambhir hota jata hai aur Mr Pelle Mr Bose ko apne karyalay mein bulate hai iss samasya ka hal nikalne..


"Arre Bhale Dulare.. kaise ho? Thode duble hogaye ho, thikse khaate peete nahi?

"Kya batau Mr Pelle bank ke saath saath mein bhi utarta chala jaa raha hoon” Mr Bose apne mathe ka pasina pochte hue kehte hai.

"Hmm.. sthiti gambhir lagti hai. Janta ko kuch chabane ke liye dena padega warna yeh bhok bhok ke humein behra kar denge!

"Ji Mr Pelle nayi tarkeeb khojni padegi varna aajkal toh mein bank mein theek se baith bhi nahi pata. Aapke Think Tank jaadu ki sakt zaroorat hai” Mr Bose thode peele lag rahe the..

Ve dono, Mr Pelle apne think-tank aur Mr Bose unke baaju ki chursi mein baithe, berojagaari ki pareshaani ka hal nikalne… Bada ghumaya Mr Pelle ne apne think-tank ko.. aur Bingo!

"Berojagaari Beema! Yeh! Yeh yojna kaam karegi!” Mr Pelle aur Mr Bose ki aankhen chamki aur ek doosare ko gale lagaaya!

"BD, jaao Bakra note ko chaapna shuru karo! Dher lagado!” Mr Pelle ne aadesh diya.

"Ji haan, Mr Pelle abhi chalu karta hoon printing machine! Ek dher aapke liye, ek mere liye aur ek janta ke liye!

"Hahaha” dono hasne lage!

"Kyun BD chalta hai ki nahi humara dimaag! Logon ke baare mein hum sochte hai ki nahi? Achhe din aayenge ki nahi, humm?

"Yeh berozgar matdata inn nayi noton ko chabati rahegi aur hum aaram se raj karenge! Humein sirf kaagaj aur syaahee ki jaroorat hai! Hahaha” hansate hue Mr Pelle ne Berojagaari Beema ke Ordinance ko paas kar diya.

Money printer toh Brrrr se chal pada, aur janta apane naye naye Bakra noton se machhali lene daude chale Bank.

Bhid itni badh gayi, dekhte dekhte saari public bank ke oopar toot padi.

"Yeh toh Bank Run hai!” Mr Bose bank mein jama public ko dekh ke bade chintit ho gaye.

Tijoree toh chutki mein safa chat ho gayi!

"Sir, humare paas bahut saare kankaal aur machhali ki khaalen padi hai” manager Mr Bose se kehta hai.

Sthiti itni bigad chuki thi ki Mr Bose ne janta ke saamane kankaal or khaalon ka dher laga diya aur bole,"Yeh lo tumhari machhliyan. Uthalo jo utha sakte ho!

Yeh dekh, log ascharya chakit hogaye! Log chillaane lage, "Yeh kya hai! Mere paas das ka note hai, mjhein das machhli chahiye!

"Mera kya?!

"Arre! Yeh kya mazak hai!

"Humein machhli chahiye!

"Humein Khana do!

"Jawab do!

"khana do, jawab do!

"khana do, jawab do!

"khana do, jawab do!

Janta naare lagati gayi aur wahan Mr Bose apni office mein jaa ke chup gaye. "Kya main aapake think-taink ko garam kar doon Mr Bose?” manager poochta hai.

"Nahin bahi nahi, isake liye koi waqt nahin bacha! Ab mujhe bas ek-ek kaagaj chaahie! Sabko bahar nikalo, bulao security, aur nikalo yeh bhookhi nangi janta ko bahar

Mr Bose ne bank ke daravaaje band kar die aur darwaje par ek note chipaka diya, "Bank Holiday!

Baahar janta pagal ho rahi thi!

"Yeh kya mazak hai! Aise kaise mujhe mere paise nahin de sakate!

"Mere ghar mein shaadi hai!

"Meri maa beemaar hai, mein davaiyaan kaha se laaunga?!

"Yeh kheti ka mausam hai, bone ke lie beej khareedane hain! Loan hai, bachhe ghar mein bhookhe hai! Mein barbaad ho jaaunga, mar jaaunga!

"Humein hamaare paison ki zaroorat hai!

"Humare Paise DO!

"Jawab DO!

"Paise DO! Jawab DO!

"Paise DO! Jawab DO!

Janta naare lagati rahi, lekin bank, band raha!

Mr Bose bank band kar seedhe daude Mr Pelle ko milne.

"Mota Bhai, Mota Bhai, bank toh poori tarah khaali ho chuki hai, naa asli, naa Swachh machhli bachi hai un bewakoofon, mera matlab.. janta ko dene ke liye! Bahar mamla bada garam ho chuka hai!” Mr Bose ne Mr Pelle ko stithi ki sachhai batai, batai kya, girpade Mr Bose.

"Mujhe siradard ho raha hai! Hawa aane do!” Mr Pelle apna sar dabane lage ..

"Mota Bhai, mujhe lagta ki ab humein humare aarthik experts ko bulana lena chahiye! Unse pooch lete hai ki aisi sthiti mein kya kar sakte hai..” Mr Bose ne sujhaav diya.

"Meeting bulao, aarthik experts ko bulao! Saare mantriyon ko bulao.” Mr Pelle ne aadesh diya!

Kuch der baad do log Pradhaan Mantri ke kaksh mein pahunche, Doosre saare mantri aa chuke the.

"Sir, yeh hai Smt Meera Baavanakule aur Srimaan Kaala Chakka!” Mr Bose ne sarkaar ke aarthik experts ka Mr Pelle se parichay karvaya.

"Badhiya, badhiya! Aao, aap hi ka intezaar tha. Aapko hum samjhaate sthiti kya hai. Aisa hai, janta raaste pe aur aartha vyavastha sankat mein. Bank hai khaali aur Swachha Machhli Karyalay mein koi asli machhli aa nahi rahi. Paristhiti zara gambhir lagti hai, toh humne socha aapko bula le, kyonki aapne isske baare mein toh kaafi padha hoga. Ab batao iska kya hal hai aapke paas!” Mr Pelle ne Smt Baavankulle aur Srimaan Mr Chakka se poncha.

"Have aavu che Pardhan Mantriji, mai tumko batata hai. Paristhiti toh bat se battar bahut pehle hi ho chuka tha. Hum kaafi samay se aapse milne ka koshish kar raha hai, lekin aapka nalayak PA humesha ya toh ye kehta ki aap videsh yatra pe hai ya yoga kar rahe hai. Matlab yeh koi baat hua, bolo. Maine usko bola, bole toh yeh Pradhaan Mantri kaam kab karta hai. Ei, khotu nai lagavanu hum, pan saachi vaat che ke nai, bolo?” Srimaan Mr Chakka ne Mr Pelle se kaha.

"Haan woh sab thik hai, yoga karna sehat ke liye achha hota hai aur mere yoga karne se, humari sanskriti vedesh mein badi popular ho rahi hai. Aap iss samasya ka hal batao.” Mr Pelle muskurate hue bole. Yoga sunke thode shaant bhi hogaye.

"Sir, hume ko Interest ko kam karna aur Credit Expansion ko badhava dena!” Smt Baavankulle ne sujhaav diya.

"E Na na gandi.. voh sab toh thik hai, pan Sir evu che, humne Tax Cut karvanu joiye, saala log pan shaant ho jayenge ane Pradhan Mantriji aapka popularity bhi bahut badhega. E Hamjan padi.” Mr Chakka ne sujhaav diya.

"Kya?!” yeh sunke bada krodhit hue Mr Pelle"Aur kuch sujhaav nahi hai tumhare paas?

"Lekin Credit toh hum kheench kheench draupadi ki saari se bhi zyada badha chuke hai aur Tax kya, logon ke paas khaane ke liye ek machhli nahi bachi, kam kya kare Tax. Aur yahan sarkar kangaal baithi hai, tum Tax Cut ki baatein kar rahe ho!” Mr Bose ne aarthik experts se kaha.

"Yeh toh hum bhi soch sakte hai. Aaj tak yehi toh karte aa rahe hai! Kya khaakh experts hai aap, itne saal padhne ke bavajood iss se behatar nahin kar sakate?” Mr Pelle ab donon visheshagyon par bahut gussa hue.

"Kya fayda tumhara, iss se achhe toh hum expert!” Mr Bose ne bhi apne haath dho liye.

Janta ab Sarakaar Bhavan pahunch chuki thi. Bada shor mach raha tha bahar. Sadakon pe asantusht janta naare laga rahi thi, Naukri DO! Machhli DO!

Naukri DO! Machhli DO!

Naukri DO! Machhli DO!

Log ab patthar phekne lage Sarkar Bhavan par.

Yeh sab dekh, Mr Pelle thode ghabra gaye.. election ke baad pehli baar ve janta ke samne aaye aur bole, ""Humaare utkrusht arthashaastri ek nai yojana par kaam kar rahe hain! Chinta na karen! Achhe din aane wale hai!” aur turant andar nikal liye.

Lekin, sarkar ke utkrusht aarthic experts sirf yehi sujhaav jaan te the, Credit Expansion aur Tax Cut.

"Isme kya naya hai? Baah! Bas itna hi arthashastra aata hai inhein! Band karo inhein kothri mein, na khaana, na paani milega!” Mr Pelle ne apni security se kaha.

Mr Pelle ke paas ikattha hue naitik aur aarthik roop se khokhle mantri saare ek doosre ko dosh dene lage, bahas ki maatra 9000 se bhi oopar pahunch chuki thi.

Tabhi ek mantri ne poocha, "Hum ab karne kya vaale hai?

"Kya kar sakate hain? Humne aaj tak logon ki bachat churane ke alava kiya hi kya hai! Aur kuch aata kahan hai humein” doosare mantri ne javaab diya.

"Bhai takalluf toh yeh hai ki ab chori karane ke lie bhi kuch nahi bacha!” nirashajanak bole minister A. Kadam Kadke.

"Hmm..” baaki saare ministeron ne apni nirashajanak sehmati jatai.

"Arre berozgaari ka hi hal chahiye na? Kar lete hain paida in berojagaaron ke lie naukariyaan!” Minister Pehala Jhandoo ne sujhaav diya.

"Jaise, yaad hai Swachh Tat, Bade Mr Pelle ki pariyojana! Kya zamana tha.. Humne uss saphai abhiyaan ke dauraan bahut se logon ko kaam pe rakha tha, ret ko chhanna, jhaadu maarna, pattharon ko bhi saaf karvaya tha. Kitna kaam diya! Isi tarah ek nayi pariyojna shuru karte hai! Usmein kya hai! Jaise.. jaise.. umm .. haan! Swachh Ped Abhiyaan! Yeh sahi hai, dekho patte, phal, phool sab saaf karvaenge logo se! Wah! Kya kehte ho! Bahaut kaam de sakte hai..

"Abe Minister Jhandoo tum kitne gaadhe ho sakte ho! Sarakaar kuch nahi banati!” chillaaya Mr Pelle ne.

"Humne aaj tak sirf ek hi kaam kiya hai samaaj ki bachat ko Bakra noton ke dvaara loota hai aur matdaataon ke beech uss loot ko baata hai!” bole ek Mantri. "erm .. humara hissa lene ke baad!” Minister kadake bole, meeting mein apna iss yogadaan se bade khush the.

"Agar humne sirf yehi kiya hai, toh hum un Bonds ka bhugtaan kaise karenge, jo humne Make In Dveep yojana ke dvaaran logon ko beche the. Yeh keh ke ki ve dveep ke bhavishy mein nivesh kar rahe hai?” Minister Jhandu ne gambhir svar mein maujooda ministron se poocha.

"Minister Jhandoo tum kitne jhandu ho sakte ho! Humne woh bonds ka bhuktaan karne ke liye thodi beche the! Hum nahin kar sakate koi bhiktaan!” Mr Pelle ne jawab diya.

"Aur jo Bonds humne bank ko diye the, Bakra noton ke badale mein?

"Hum kisi cheez ka bhugtaan nahi kar sakte!” chilla ke bole Mr Pelle.

Wahin bahar naare mazboot ho rahe the..

Naukaree do!

Khaana do!

Machhali DO!

Naukaree DO!Khaana DO!Machhali DO!

"Yeh bevakooph janta! Abhi bhi hum par vishvaas karti hain!” Mr Pelle ne naare sunke tippni di aur hasne lage..

"Bahar drushya khatarnaak hota jaa raha hai!” Minister Jhandoo khidki se jhaankte hue bole.

"Aapka think-tank garma kardu Mr Pelle! Dveep ko ek aur **thagi yojna** se bajalo -erm bachalo!” aasha bhare Mr Bose ne sujhaav diya. Aur kuch toh bacha nahi tha.

"Na BD na! Yeh think-tank ka samay nahi hai! Ab koi jugaad nahi bacha! Sirf sachhai bachi hai!

Phir Mr Pelle ne apane poore raajnaetik jeevan ke ekamaatr imaanadaar shabdon ka uchchaaran kiya..

"Mitron, dveepavaasiyon, deshavaasiyon, mere bhaiyon aur meri behno .. mujhe lagata hai ab samay aa gaya hai ki ham sabhi asli machhali pakadana shuroo kar de aur **jaldi se**.


Epilogue

Yeh thi kahani Machhli.

Vote maangane vaale raajaneta artha vyavstha ki barbadi aur samaaj ke dalal hai!

Vyaapaar chakr yani Business Cycles, mandi, avasaad aur inflation maanav nirmit hote hain .. jo humesha taale jaa sakte hai!

Udaaharan: Sarkar Saarvajanik Kalyan Yojnao ke liye Loan leti hai ya Tax badhati hai:

Aisi yojnao se mehnati logon ko zyada Tax laga ke dandit kiya jaata hai, jabki kaam na karne waale logon ko sarakaar sahaayata de ke puraskrt karti hai.

Iss se na keval sabhi ke liye kaam karne ka protsaahan kam hota hain, balki yeh saara paisa, samaj ki seemit jama bachat se liya jaata hai, jo poonji aur naukri nirmaan ke liye bahaut zaroori hai!

Doosra udaahara: Minimum Wages Act, Nyunattam Mazdoori Adhiniyam

Sarkar desh ke yuvao aur garibon ki madat ke liye kehti hai hum Minimum Wages Act ko mazboot karenge.

Parantu..

Jaise jaise nyunotam mazdoori yani minimum wage badhta hai waise waise adhikaansh vyavsayon ke munafe ghatne lagte hai.

Islie ve keval sabase yogya, anubhavi aur kushal logon ko hi kaam par rakh paate hai.

Iss se sabse bada jhatka yuvaon ko hota hai, jo college se naye naye padhke bahar toh aate hai lekin unake paas anubhav nahin hota. Bhale hi kitna bhi padh le, kaam milna zyada se zyada mushkil hota jata hai.

Aur jo padha likha nahi jaante unhein toh bade papad belne padte hai.

Iss prakaar, raashtr ke yuvaon ki madad nahin balki haani hoti hai!

Yahi nahi, kai saare vyavsay, khaas kar chote vyavsay mushkil se vyapaar kar paate ahi aur thoda bahut bacha paate hai. Nyunatam mazdoori badhne se unhein bhi bhaari nuksaan hota hai aur kai saare aisa jhatka nahi seh paate, iss se unhien apna vyavsay band karna padta hai aur berozgaari badhti jaati hai.

Nyunattam mazdoori se garibi kam nahi balki sirf badh sakti hai.

"Ab dekhte hai..

Consumer Loan aur Capital Loan ke beech ka antar

Consumer Loan

Jaise humne doosre episode mein dekha, Consumer Loan samaaj ki poonji ko barbaad karata hai! Jab Upabhokta vastuon yani Consumer Goods ke lie samaaj ki poonji ka upayog kiya jaata hai, toh utpaadak vyaavasaayon ke lie poonji kam bachti hai aur yeh saare samaaj ke jeevan ke star ko kam karata hai.

Agar koi nayi factory kholana chahe, jo rozgaar paida karati hai, unhen loan nahin mil paayega ya zyada interest par loan lena padega kyonki samaaj mein poonji ki upalabdhi kam hoti hai.

Capital Loan

Consumer Goods, bachat aur nivesh poonji ko badhaata hai .. yeh samaaj mein rojagaar, seva aur saamaan pradaan karake jeevan star ko badhaata hai ..

"Ab dekhte hai..

Vyaktigat Loan aur Goverment Loan ke beech ka antar

Koi bhi vyakti apani mehnat se kamai hui jama poonji udhaar dene mein bahut saavadhaani baratata hai. Logon ki bachat se bana bank koi bhi loan dene se pahale uchit roop se jokhim ki parakh karega, kyonki yadi ve bura nirnay lete hai toh unaki vyaktigat pratishtha aur dhan jokhim mein aa jayegi.

Lekin, choonki sarakaar janta ke paise se udhaar deti hai, unhen toh kisi prakar ka vyaktigat jokhim nahi hota. Naahi ve apne paise lagate hai aur naahi unka apna naam kahi kharab hone ka dar hota hai. Sarkaar ko sirf har paach saal mein ek baar janta ke saamne dhindhore pitna hai, apni vote-bank khareedke jeetna hai. Islie ve samaajik laabh ke bajaay raajaneetik laabh ke lie udhaar dete hai!

Jab sarakaar aise kai saare loan baati hai, toh mehnati logon ke lie samaaj mein poonji kam hoti jaati hai aur unhe adhik byaaj par Loan lena padata hai.

Udaaharan:

Maan leejie sarakaar Car Loan (consumer laon) gairakaanooni ghoshit kar deti hai.

Iss se kai log ab gaaadi nahin khareed paenge aur gaadi companiyon ka business bahaut kam hojayega.

Aisi sthiti mein yeh companiya kya kar sakati hai?

Keval ek hi cheej – gaadiyon ki keematen kam karen ya phir ve vyavasaay se baahar ho jaaye!

Ab, jab ve keematein kam karenge toh kuchh aur log gaadi khareed paenge. Agar unka discount kam hoga toh kam log khareed paayenge, tab unhein apna discount tab tak badhana padega jab tak ve apne vyavasaay ka santulan nahi paate!

Keematon mein aisi adjustment poori aarthik shrnkhala mein hogi.

Car deelaron ko mehangi gaadiyan bechane mein mushkile aayengi, toh ve aisi gaadiya ya toh nahi rakhenge ya unka stock kam rakhenge.

Iss se companiyon ko mehangi gaadiyon ka production kam karna padega. Iss se factoryan kam raw material kharidegi, phir majadooron mein bhi katauti hogi.

Iss se poori arthavyavastha prabhaavit hogi .. keematein poori aarthik shrrnkhala mein kam hogi ..

Factriyon mein lagne waala maal, gharon mein lagne waali cheezein, majadoori, anya vastuon aur aavashyak sevaon mein bhi katauti hogi..

Log apne aapko Tax ke nichle darjon mein pane lagenge, unake paas vaastav mein apni zaroorat ki cheezein khareedane ke lie adhik paisa bachega.

Pension ke bharose jeene waale buzurg aur kam tanakhvaah paane vaale yuva aur unskilled labour ko in girti hui keematon se sabse zyada faayada hoga.

Har saal jo keematein badhti hai lekin pension nahi badhta, yeh saari samasya hi nahi rahegi. Buzurg jinhone apni saari zindagi mehant ki, ve shaanti se apne pension mein khush reh paayenge. Aur yuva, har saal zyada paise kamane ke tension se jab chutkara paayenge toh ve thik se kaam kar paayenge. Unhein nayi nayi naukri dhoondhni nahi padegi.

Vyavasay apne train kiye huve logon ko surakshit rakh paayenge aur zyaada se zyaada logon ko kaam de paayenge.

Ant mein, untni hi ya adhik gaadiyan bikne lage gi..

Aur logon ke paas anya cheejon ke lie adhik paisa bachne lagega.

Toh aisa karne se kise nuksaan hoga??

Udhaaradaataon ko nahin ..

ve zyada se zyada vyaavasaayik udhaar de paayenge!

Yeh samaaj ke sabase badi kharcheeli aur atiutsaahit karzdaar – Sarkaar ko nuksan hoga. Sarkar badi museebat mein aajayegi! Sarkar ki Tax ki kamai kam hogi. Sarkar ke paas kharch karane ke lie kam paisa bachega.

Sarkar jo aaj aseem roop se paise chhaapati hai, jab chahe, jitna chahe udhaar leti hai, jisse har naagarik ki jeb ke paise ka moolya kam hota jaata hai, yeh rukega.

Isilye sarakaar Consumer Loan ko protsaahit karati hai .. janta ke laabh ke lie nahin, balki apne aap ke liye!


Closing

Aaj hum kuch aise hi samay mein jee rahe hai, virus ya no virus ek taraf saari duniyan ki sarkarein paise hawa ki tarah chaape jaa rahi hai, Credit Expansion aur Quatitative Easing jaise bade bade shabdon ka upayog karti hai, jab saare utpadak karya band hai. Na koi kuch bana raha hai, na kharch, sivay jeene ke liye zaroori saman.

Jaise humare dveep par inflation badhta gaya pehle dheere dheere phir ekdum se, aaj hum uss mod par khade hai, jaha saari duniya ki sarkar humare Mr Pelle ki tarah hi kaam kar rahi hai. Humne chauthe episode mein jaana ki muft cheezon ka koi mol nahi. Jab paise paani ki tarah bahe toh uska kya mol reh jaayega.

Mulyavaan vastu wahi hoti hai jo paane mein kathin ho, simit ho, jise haasil karne mein kshram lage jaise kaushal, gyaan, izzat, sona aur Bitcoin jo aaj, 11 May 2020 ko apna supply teesri baar aadha kar raha hai.

Hum aaj aise aitihasik mod par khade hai ki hum sabhi ko inn baaton pe dhyaan dena chahiye, samajhna chahiye, charcha karni chahiye aur sarkar se humare paiso par ka ekadhikaar nasht karna chahiye aur Bitcoin humein yeh tarika dikhata hai.

Mujhe yeh kahani likhne aur padhne mein bada maza aaya aur maine bahaut kuch sikha. Aasha hai aapko bhi sunne mein bada maza aaya aur kuch bunyadi siddhant sikhne mile.

Agar aapko yeh kahani pasand aayi toh apne doston, ghar waalon se aur har kisi ke saath share kariye. Yeh bahaut zaroori hai kyonki jitne zyada log in bunyadi siddhanton ko samajh paate hai utni humare samaj ki pragati aur chetna badhti hai. Yeh humari zimmedari hi nahi balki zaroorat hai ki humare achhe samaj ko, humari saskruti ko sambhale aur satyug ki aur le jaaye. Yeh koi ek ya kuch log nahi balki humein sab ne milke banana hai.

Mujhe aasha hai ki aap aur aake priyajan khush aur surakhit hai. Agli kahani tak mein aapse ab ijazat leta hoon.. apna khayal rhiyega!